Wednesday, 11 February 2015

SHARAF E ZOHARA


 zohra khobsorti se motaliq hai, jald shadi , olad auraton k motaliq, ishq o mohabbat tafri ka saman, khoshbo, khoshyan, sakon, ropya pesa se taloq rakhta hai, Is saal zohra saiyara ko 17 february 2015 sham 7 baje se lekar 18 february 2015 din ke 2 baje tak sharaf  hoga is waqt yeh saiyara burj e haut ke athaaisween darje par hogi jo ke iska sharafi darja hai ,jab koi bhi saiyara apne sharafi darajat par pohach jata hai to goya who apni tamam tar khubyon aur aur saad roohani qoowat ki inteha ko pohanch chuka hota hai Khuda e Qadeer ne har saiyaare ke mukhtalif darajat me jab ke who apne mehwar par gardish karta hua pohachta hai ek khaas qisam ki taaseer wedeyat ki hai aur yeh us Qaadir e Mutlaq ki nishaaniyan hain jisey ahle ilm bakhubi jaante hain aur mustafeed hote hai amaliyat ki roohani dunya ka talluq barahe raast saba saiyaargaan ki raftar  isteqamat o rajat aur bara burjon ke mukhtalif darjat sy hai, is par sharah o basat se likhne ki feal haal yehan haajat nahi kiyonke yeh ek alag mustaqil mozu hai albatta hubb o taskheer ke talluq se itna arz karna zaroori hoga ke siyara zohra chunke saad asghar hai aur husn o shohrat ki numainda saiyara hai islye iske sharaf me taskheer e khalq ka ek mujarrab jafri Loh ka tariqa e kaar mutarif karaya jaraha hai agarcha yeh loh digar saad saiyargan ki sharaf aur unke saad nazraat me bhi tyar kiye ja sakte hain chunke sharaf e zohra iske liye munasib tar hai is lye iske sharaf me Lohe taskheer e khalq ka tareeqa e kar aur iske loh ki mukhtasar khaasiyat darj ki jati hai.
Is Loh ko pas rakh kar jis mehfil me jaayen logon ki tawajja ka markaz bane
Is Loh ke haamil ke liye har mard o aurat ke dil me be panah izzat qaaim ho
Loh e mazkoor ko apne paas rakhne wala kisi se kuch talab kare to usey zaroor mil jaye
Agar kisi hakim ya leader se apni baat manwani ho to who zaroor mane ga
Muqaddme me kamyabi ke court me is Loh ko pas rakh kar jaye to faisla haq me ho
Kisi jaani dushman ka saamna karna pare to is loh ko apne paas rakhen koi nuqsaan harghiz na ho
Agar kisi par rupai nikal raha ho to is loh ki barkat se uska dil paise dene par aamada ho jayega
Koi shakhsh bank se qarz lena chahta ho to is Loh ke wasile se rukawat door ho jayengi
Apne pasand ki jagah shadi karne ke liye is Loh ko apne pas rakhen
Agar ladki ya ladke ke baaz rishtedaar shadi me rukawat bante ho to iska hall nikal jaye
Susraal me jin bahuwon ko izzat nahi milti yeh Loh unke liye bepanah izzat aur hifazat ka sabab banta hai
Doctor ,wakeel , samaji leader  dokandar waghaira aise log jinki aamdan ka madaar logon ki aamad o raft par ho yeh Loh unke liye ek nemat hai
Is Loh ka haamil khwah mard ho ya aurat uske chehre me ek ajeeb si kashish paida ho jati hai
Khubsoorti me mazeed izafe ki khatir is loh ka istemal nihayat mujarrab hai
Jisne purani dushmani ho unke dil bhi is loh ke rakhne wale ke liye pighal jate hain
Is loh ko istemal me laane wale ki aisi shohrat ho ke har shanasa hairaan o shasisdr rah jaye
Gharaz yeh ke taskheer e makhlooq ka ek ajeeb tilism hai jiske khwas bohat ziada hain aqalmand ke liye mahaz ishara kafi hota hai ab aaiye is loh ke banane ka tareeqa mufassal darj kia jata hai jo youn hai aayat taskheer me se kisi aayat ka intekhab kia jaye joke aapke nam ke huroof se mutabiqat rakhta ho iske adad me apne naam ma walida ke adad shamil karlen aur phir 41 tafreeq kar dalen aur jo bar aamad ho unko huroof bana kar aage kalma ael lagaayen jisse moakkil ban jayega phir ek takseeri satar is taur par tyar karen ke pehle nam ma walida ke huroof likhen iske baad aayat taskheer ke huroof e mufarradah ab is takseer ko sadr moakkhir karen iske bad is ke bad is takseer ke pehlooye raast aur pehlooye chap ke huroof utha len aur inko alahida alahida sutoor me likhen aur huroof ko shumar karte jaayen agar ek satar me juft huroof hon to char char kalme aur taaq huroof hon to teen ya panch kalme bana len jis qadar jumle hon unke aage kalma yosh lagayen is tarah aewanul amal bar aamad ho jayega iske bad takseer ke jumla huroof ke aadad abjad qamri sy nikal kar inme se 319 adad tafreeq karen aur baqaaya adad ke huroof bana kar isme kalma taesh lagaden yeh jinnatul amal ka naam bar aamad hua ab chahiye ke kul takseer ke aadad qamri ko naqsh e mukhammas me pur karen aur naqsh ke har chahar janib aewanul amal ke asmaa ko likhen aur naqsh ki doosri janib ek farzi taswer ek mard  kursi nasheen aur iske saamne khilqat ka hujoom ho ab mard ke sar par moakkil ka naam likhen aur makhlooq ke saron  par jinnatul amal ka naam tahreer karen aur is mabham tasweer ke ird gird oopar niche daayen baayen aewanul amal ke asmaa ko likh dijye bas yeh LOHE TASKHEER KHALQ tyar hai is tarah teen lohen banayen ek ko taalib apne pas rakhe doosre ko apne makan me kisi oonchi jagah kapde me sil kar latka den teesre ko kanch ke frame me jarwa kar aisi jagah office ya ghar me aawizan kare ke har aane wale ki nazar us par pare agar frame lagana dushwar ho to phir teesry ko tanbe ya chamre ki taweez me band karke kisi bhari saman ke niche daba den asar me kuch kami waaqe na hogi jaisa ke tajurba hai is loh ki tyari me aksar ghalati waaqe ho jaya karti hai kyonke isme takseeri amal hai jis me zara si bhi ujlat ya laprwahi se sari mehnat akarat jati hai lihaza iska khas khyal rakhna hai,

MOHABBAT MAIN BEQRARI 

ese afrad jinhe ye shikayat rehti hai k un ki shadi shoda zindagi be rang hai ye bivi ko shohar se mohabbat nahi rahi ya shohar ko bivi se ye shikayat ho ye mian bivi k darmiyan pehle jesi mohabbat na rahi ho ,
bivi roth kar maan baap k ghar bethi ho
mohabbat main bechen o beqrar karne k liye ye naqsh be panah por taseer hai imge niche di ja rahi hai,

najaiz amar main istemal karne wala dunya o akhrat donon main roswa ho ga,

shrf e zahra k moqe pe aasolon ko mad e nazar rakh kar ye talism tayar karen 

KAHAWAT E SITARA ZOHRA






Harut aur Marut iblees ki tarah Allah pak ki ibadat karnay wali makhlok thi, yeh 2 farishtay thay aur Allah pak ki khob ibadat kia kartay thay aur apni ibadat par onka bara naz wa guror tha aur dosray farishton ki ibadat par khamkhuwa aytraz othatay aur jab zameen par rehnay walay insano ko dekhtay to bar bar Allah pak say shikaet kar kay aytrazat kartay, Allah pak onko kehtay kay tum farishtay ho aur woh insan, onkay pas jo hai woh tumharay pas nahi, farishton nay sawal kia kay ay humaray rab onkay pas aysi konsi chez hai jiski waja say to onki thori ibadat ko bhi hum par fazilat deta hai, jab kay hum shab wa roz teri ibadat mein masrof rehtay hain aur yeh insan raat ko aram say sota hai aur din mein humari nasbat nehaet kam ibadat karta hai?
Khuda nay kaha kay insan kay pas nafs hai aur yeh nafs shaitan kay rehnay ki jaga hai isliay insan say kasoor hota hai aur woh galtia karta hai, oski thori ibadat bhi mein kabool karta hon,
Lekin harut aur marut is baat ko mannay kay liay bilkol taiyar na thay onhonay kaha, "ay humaray khaliq agar aap humay nafs laga dain to hum phir bhi teri ibadat aysay he karay ghay jesa kay humaysha say kartay rahai hain aur kabhi gunnah nahi karain ghay",
Khuda nay onki baat suni aur farmaya "ay farishton kuon khud ko imtehan mein daltay ho, agar tumhai nafs laga dia gaya to tum itni ibadat bhi nahi karo ghay jitni kay yeh meray banday, nafs, shaitan ki madakhalat kay bawajod kartay hain",
Lekin woh nahi manay apni zid par aray rahai, khuda nay onki zid ko kabool farmaya aur 3 bataon ko rok kar yehni gunnah karar dekar onkay nafs laga dia gaya aur onko aak mulk ka badshah bana dia gaya, meray Allah pak ki shan e karimi to dekhiay kay woh apni makhlok ki zid ko bhi kesay nawazta hai, onki khuwaish ko kesay pura karta hai aur saath mein hidayat bhi farmata hai takay woh gunnah say bachay rahain aur onki khuwaish kay mutabik moka ata farmata hai,
Jab harut aur marut ko zameen par badshah bana dia gaya aur saath he yeh hokam irshad farmaya kay din bhar tum is dunia mein raho aur sham hotay he ism e azam ki kowat aur barkat say apni jaga apnay makam par ajao, jin 3 bataon, amal say onhai roknay ka hokam farmaya woh yeh hain,
1, sharab hargiz na pena yeh gunahon ki jarh hai,
2, Kisi ko jazbat mein ya gusay mein ya jan bojh kar katal na karna, yeh khuda ki emarat hai isay kabhi na dhana,
3, Kisi aurat say rokbat na karna yeh azab mein mobtala karday gi yehni zehar e katal hai,
Allah pak nay apnay hokam, gunnah aur azab say agahi farma di, oskay baad woh aak takht par beth kar zameen par aatay aur sham ko ism e azam ki barkat say apnay mokam asman par pohanch jatay, zameen par sara din takht par bethay logon ki shekaet sontay aur fayslay kartay yeh silsila jari tha aur isitarah waqat guzarta raha,
ek roz ek bohat he haseen aurat harut aur marut kay darbar mein hazir hoi aur faryad ki kay aak mard nay mujay bohat tang wa parayshan kia hua hai aap oskay katal ka hokam farmay takay mein sukon say reh sakon, jis lamhai woh khubsurat aurat darbar mein hazir hoi osi lamhai shaitan nay jaal bichaya aur phanda harut aur marut kay galay mein pehna dia,
Harut wa marut nay foran os shaks ko bolaya aur os say pocha kay kya yeh aurat tumharay zolam say parayshan hai? os shaks nay jab yeh suna to nehaet adab say harut marut yeh aurat jiska nam zohra hai jhot bolti hai, kafi behas hoi phir harut marut nay osay katal ka hokam nahi dia magar zohra kay hosan aur jismani tarash kharash nay onkay wajod mein ajeeb halchal see peda kardi, tabiat mein bechani, nafs onka solagnay laga, woh oskay baad jo bhi kam kar rahai thay woh kharab he horaha tha,
Zohra nay jab dekha kay fesla oskay haq mein nahi horaha to woh khamoshi say apnay ghar chali gai, oskay jatay he harut marut mein bechani barh gai, shaitan nay onkay nafs mein beth kar onhai gumrahi kay daldal mein otarna shoro kia, bechani had say onki itni barh gai kay onhonay zohra kay ghar ka address malum kar kay oskay ghar pohanch ghay, dono jab oskay ghar pohanchay to woh leti hoi thi onhai dekh kar adab say salam kia aur ahtaram kay sath bethaya, lekin woh sirf zohra ko dekhay jarahai thay osay dekh kar onka nafs dewana hoa jaraha tha, zohra nay onki khob khatir madarat ki, osay apnay hosan ki sehar kari ka ilm tha, osay malum tha qudrat nay oskay wajod ko nehaet dilkash wa khubsurat banaya hai jisay panay kay liay insan apni hawas kay hathon shaitan ban jata hai,
Zohra dosray kamray mein gai aur harut marut ko wahan bolanay lagi, jab harut marut os kamray mein ghay to dekha kay zohra apnay haath mein sharab ka jam liay onko apnay nazdeek baray pyar aur mastana chal say bolanay lagi,
Oskay baad os iblees ki beti nay apnay nazok haath say woh sharab ka jam onkay honton say lagaya aur woh dono dewano ki tarah osay pee ghay aur phir jam par jam peetay ghay aur onkay jazbat rangeen say rangeen tar bantay chalay ghay, jab suror had say ziada onpar agaya to onhonay zohra ki khubsurat kalai pakar li, zohra nay baray adab wa pyar say kaha kay mein tumharay jazbat ko samajti hon aur tumhari khuwaish ko puri karnay kay liay bilkol razi hon lekin pehlay aap apna tarof to karwao kay aap dono kon ho aur kahan say roz aatay ho aur kahan chalay jatay ho?
Harut marut sharab wa shabab kay nashay mein sab zahir kardia zohra par kay woh farishtay hain, zohra nay kaha mein kesay yakin kar lon kay aap dono farishtay ho rozana asman say nechay aatay ho aur sham ko wapis chalay jatay ho?
Harut marut nay osay samjhaya kay onkay pas Allah pak ka aak aysa ism pak hai jiski barkat say woh opar chalay jatay hain aur zameen par dobara ajatay hain, Harut marut kay nafs par puri tarah shaitan hawi tha, woh sharab kay nashay mein apni asal kho chokay thay os waqat onhai sirf zohra ka jism apni arzo ka markaz nazar araha tha, aysay mein zohra nehaet naz wa pyar say kehnay lagi agar koi aysa ism hai to mujay batao warna mein aap ki bataon par yakin nahi karti,
Majboran harut marut nay sharab ki madhoshi mein osay woh ism pak bata dia, woh nehaet chalak aurat thi osnay woh ism pak yaad karlia, jesay he osay woh ism e pak yaad hua woh onkay pas say othnay lagi, harut marut nay oski kalai par zor dia to woh boli mein aap ki khuwaish puri kardon gi agar aap os mard ko katal kardain jiski shekaet mein lekar ai thi aap kay pas, harut marut nay foran os shaks ko hazir kia aur katal kardia,
Ism e azam zohra ko achi tarah yaad hochoka tha jesay he harut marut os shaks ko katal karnay kay baad apni khuwaish puri karnay kay liay zohra ki taraf barhai to zohra nay ism e pak parha aur asman ki taraf boland hoti chali gai, harut marut nay foran ism e pak parhna chaha lekin zehan nay saath na dia, onkay zehan say woh alfaz mit chokay thay, onhonay bohat koshish ki kay zohra ko rokain lekin woh ism e azam bhool chokay thay woh osay kesay roktay, onhonay jesay he ism e azam ka raaz afshan kia to Allah pak nay onkay zehan ko os mubarak ism e pak say shifaf farma dia,
Odhar zohra is qadar boland hoi kay dosray asman ko par karlia to khuda nay sitara zohra(planet venus) kay mokil ko hokam dia kay aak aurat zameen say arahi hai jesay he woh tesray asman par qadam rakhay osay sitara apnay mein salab kar lay.....pas ba hokam khuda aysa he hua,

SITARA ZOHRA

ye sayara 45 darje aftab se age nahi jata hai, jub 45 darje sayra shams k piche hota hai to rajat main ho jata hai jis borj main rajat karta hai is borj ko 107 ayam main te karta hai,ye borj jis sal rajt main hota hai is saal 407 ayam main bara borjon ko te karta hai aur mostqeem halat main 324 ayam main bara borjon ko te karta hai,ye sayara ek saal rajat main hota hai phir dosre saal main is ko rajat nahi hoti hai, zohra sitra jub 12 darje shams se piche hota hai to gharob ho jata hai,jubke 12 darje age hone par phir taloh ho jata hai,rozana ek darje dus daqiqa te karta hai, 27 din ma ek borj ko te karta hai,tabeli borj k saat din k andr andr asraat zahir karta hai,

SITRA ZOHRA RAJAT MAIN 

sitra zohra ka taloq zaiche k dosre aur satwen ghar se hai aur ye donon gharon ka hakim hai,ye sayara rajat ki halat main zaiche main waqeya ho to mohabbat main nakami,shadi shoda zindagi main badmazgi ya rishton main rokawat amdani mehdod,tijrat ,zemidari main noqsan bivi se nachqi olad ki taraf se fiqar dikhta hai,sitra zohra agar zaiche main nehes halat main ho to ese log bohat jazbati hote hain,sost namod o nomaish karne wale,shehwat parst,fazol khrch ,mali noqsan,badnaam,ganda zehen,shokh,maskhra,fazol goftago karne wala,ghrelo azdawaji sokh se mehrom karta hai,jo bhi kaam kare is main noqsan uthae,aiyash tabyat,shrabi aur kahil al wajod banata hai,olma e moghfi aloom ne apni shabo rooz ki mehnat aur khuda ki karam nawazi ki badolat ese bohat se naqosh ,talismat o loh istakhraj kiye  hain jin ko sharf e zohra k moqe par tayar kar k agar apne paas ba parhez rakha jae to sitra zohra k naqis asraat se allah  k fazal o karam se loh o talismat paas rakhne wala har tarhan k naqis asrat se aman main rehta hai,

ZOHRA K ZAICHE K BARA GHARON

 MAIN SAMRAAT

1 ghar main ho to har kaam main kamyabi hasil ho hakim e waqat se izat o martaba paye dunyawi mamlat main koi khosh khabri sone dushmanon pe fateh paye raag u rang ka shoqeen ho,

2 ghar main ho to dolat mand ho,faida hasil ho,jis khandan main peda ho is ka naam roshan kare,

3 ghar main ho to jismani sehet achi rahre,rehem dil ho,dushmanon pe fateh paye fankar aur ilmi leyqat zyada ho bhaion se faida pohnche,

4 ghar main ho to jismani sehet achi na ho, par aqlmand aur draz omar ho, nek o bad ki tameez khob kare, waldain se rahat mile,zameen o jaedad k mamlat main khoshi hasil ho, thori si mokhlif baat par jald bharak uthe,

5 ghar main ho to olad ka sokh mile inaam o lottry main kamyabi hasil ho mohabbat main fathe hasil ho,

6 ghar mai ho to bemari se jald shifa hasil ho dard e sar,seena aur balghami khansi ki shikyat rahe ziyada napak badan rahe,

7 ghar main ho to azdawaji zindagi achi basar ho,aurat ka sokh naseeb ho,rangin mizaj aur khosh kalam ho tijrat main kamyabi ho olad ka sokh mile,jismani sehat achi ho,tumam omar aesh o ishrat se bsar ho hosan prast ho,

8 ghar main ho to aksar bimar raha kare pet ki taklif ho,har wqat fiqar mand raha kare,

9 ghar main ho to behtar rozgar hasil ho,ibadat ki taraf tawajo zyada ho safar main kamyabi ho haj o umra ki sadat hasil ho,   

10 ghar ma ho to dili khohish pori ho maal o dolat peda kare mazhab ka paband ho, 

11 ghar main ho to maal o dolat bakasrt ho boland martbe ka malik ho khandan ka naam roshan kare,

12 ghar main sitra zohra ho to mali noqsan uthana pare doshmano ka khof lahaq rahe bane banae kaam khrab ho jaen qadr o manzilt kam ho,

SHARF E ZOHRA AUR ZAICHE KA 

DOSRA GHAR,

sitra zohra satwen ghar k ilawa dosre ghar ka bhi hakim hai zaiche main dosre khane se ropya pesa,jaedad,mali nafa o noqsan,khred o frokht,qraz lena,waseyat krna,amiri ghribi,sakhwat,maal kis zarye se mile ga ye tamam mali amor dekha jata hai,agar dosre khane main zohra naqis ho ya nazrat drost na ho to molod ki mali halat ta hayat drost nahi rehti aur in tumam mamlat main iltwa ya nakami ka samna karna parta hai,sharf e zohra se faida uthaen sharf zohra main loh e zohra bana kar ya banwa kar paas rakhna faide mand ho ga khas tor pe mali amor main kamyabi ya lottry k inaam k hsol k liye khas loh e fatohat aur loh e zohra norani tayar ki jaye gi,

DUA GO M A KAZMI

03125561915

03065561318 

  • PRIZEBOND 1500 ROUTEEN AUR FORMULA 16,2,2015  MERI TUMAM ROUTEN AUR TEHQEEQ SUB SE PEHLE ISRARULALOOM.BLOGSOPT.COM PE POST HOWA K...
  •  TARIKH E TALSMAT moarikhen ne fun e talsimat ko mokhtalif adawar main taqseem kar k beyan kiya hai in main se is k ibtedai mraahel k...

    • Insan ka pathar se bara qadim rishta hai jab insan ne dunya main qadam rakha to abhi zameen tashkeel pazir thi aur barfani tofaon .ati...
    •   *~ISRAR E ILM-E-RAMAL ~* ILM-E-RAMAL :- Pak hai woh zaat jes ny aisy pak uloom makhlooq ke bhalai ...
    • SEVEN MATEL SE BANA HOWA CHERAGH raato raat logon ko amil kamil ban ne ka to bara shooq hota hai lekin aksar log mehnat o reyazat ...
    • JADU KI IQSAM Wese to jadu ki be-shumar qismien hain magar jadu ki 10 qismien boht mashhoor hain : (1) TAFREEQ KA JADU (2) MOHABBAT...
    •     LOHE ATARD BA MOAKKIL   wo dost jo ye talisam tayarnahi kar sake Khuda ke fazal se  sharaf e atard me tayar ki gai ye  pu...
    • “The Kabala of Numbers”  Numerology is a science which has survived the test of thousands of years. The learned Ancients discovered th...
    • KIYA PRIZE BOND PAR INAAM LENA JAIZ HAI   PRIZE BOND KA KHAS OUR MOJRAB AMAL DOSTO YE AMAL PAKISTANI PRIZE BOND KA HA PA...
    • LOH OUR TAWEZAT dosto apni is choti si zindagi main humen bohat si chelengez ka samna karna parta hai kabhi sumjh main na ane wali be...