ILM-E-RAMAL :-
Pak
hai woh zaat jes ny aisy pak aloom makhlooq ke bhalai aur mushkil
kushai k leye autary aur Pak hain woh hastiyan jin par ye Ilm autary
gaye aur unhoun ny khedmat-e-khalq ke aur in aloom- ko aam
kiya,Ilm-e-ramal woh qadeem ilm jis k zarye ham kesi shaks ka mazi haal
aur musqtabil ka sirf aik zaicha bana kar bata sakty hain ramal k ek
zaichy sy pory 144 sawalaat k jawabaat milty hain ,aur dosry tareky sy
164 tak jawabaat milty hain,Ramal ka lafz apny mani k hisaab sy bohat
hi waseh hai yani k rayt jestarhan regestaan mn rayt ka koi andaza
nahi laga sakta usi tarhan ye ilm bhi
la mehdood aur bohat wusehat leye
hoay hai,is ilm ko lakeron ke science kaha jaye tu ghalat na ho ga is ilm k ahaty mn khaliq-e-kainaat ny har cheez ka hissa rakh diya hai is leye ye ilm nehayat saucha hai,
TAREEKH ILM E RAMAL :~~
ketaab tareekh-e-alam ibn-e-khuldoon lekhte hai k "ilm-e-ramal ka nuzool Hazrat Danial a.s par ALLAH ny ba wasatat jibrael a.s kiya". is ilm ke ibtada tu pehly hogaie the albata uooj par unky dour mn aya yahan ye lekhna bhe zarori hai k ahly hind hazrat danial alahy salaam ka ustaad Tem Tem Hindi ko manaty hain jesy k surkhaab ramal k musanif pro.hakeem munshi raghbeer singh sayah apni book k page 7 par lekhty hain k "aam rewayat mowajed is ilm k daniyaal a.s hain ,agay chal kar lekhty hin k ye ilm bhe ejaad kardah mahereen falsfa wa science ahly
hind hai isky saboot k tur par ahly hind dairah abdah ko pesh karty
hain jo tarteeb kardah danial a.s hai aur ye he woh dairah hai jesko asal aur taskeen aur uml-ul-dawair aur taskeen tem tem hindi bhe kehty hai aur isi tem tem ko ahly hind hazrat danial ka ustaad kehty hain isi wajah sy is ilm ko woh khud sy mansoob karty hain ,hakeem
tem tem hindi ka zamana tu pata nahe albata agr tem tem k laghwei maeny
dekhy jain tu tem buzruge barai aur ala ko kehty hain dosry maney
maal-e-basyaar k hain aur jes tarhan tem tem muraqab hai tu is sy ( jibrael a.s
muraad hain ) yani k ahly hind jesko hakeem tem tem hindi k naam sy
janty hain aur hazrat danial ka ustaad kehty hain woh hazrat jibraiel
he hain har tarhan is naam-e-pak k leye barai he barai pai jati hai .
s.nazir hussain ba hawala tareekh khuldoon apni book mn lekhty hain k ilm-e-ramal k asaar ahly misr k han bhe mojood thy faroos nami misri kahen is ilm ka bani mubani tha jes ny is ilm par ketaab lekh kar sandook ko tala laga kar band kardi the aur mumfis k daldalon mn aik muqaam par rakh de the jesy egypt k 3rd shahi khandaan ky 4th badshah ramees doyum ny wahan sy nekalwaya ,isi badshah k dar bari kahein sist aamoon ny dobara is ilm ko misr mn zindah kiya.
ahl-e-yunan bhe ilm-e-ramal janaty thy aur mashoor falsafi jalenos bhe apny dour ka by badal ramaal tha ,isi arhan is ky baad sukraat aur aflatoon be is ilm k ulma mn shumaar hoty hain,yunan sy ye ilm italy walon ny aur wahan sy tamaam aqwaam-e-europe ny hasil kiya,phir jab muslmaan aur aqwam-e-europe aik dosry mn shamil hoay tu musalman ulma ny is ilm mn tarhan tarhan ke mushghafiyn bayan karky ahly europe ko is sy mazeed roshnaas kiya.
muslmaan ulma ny is ilm ko kuldi kahenun aur iranai wasateer sy sekha aur is ilm ko miraaj-e-kamal tak pohanchaya ,isi
waja sy ahd-e-qachaar ka mashoor aur maroof irani ramaal Surkhaab apny
dour ka by badal ramaal tha ,is hakeem ny ilm-e-ramal ko is kamaal tak
pohanchaya k ajj ye ilm baqaida science mn shumaar hota hai .
ILM-E-RAMAL AUR AMBIYA ALHAY SALAAM :-
ilm-e-ramal aik aisa ilhami ilm hai jo ambiya alahy salaam par wahe k zarye ya dosry zaraye sy autara gaya ,
bohat sy ambiya alahy salaam is ilm k mahir thy lekin tareekh
mn jenka zikar hamein milta hai aur jenke k naaam hamein aimah masomeen
a.s k zarye rewayaat mn milty hain un mn Hazrat Adam a.s,Hazrat Shees
a.s,Hazrat
Idrees a.s hazrat Esa a.s hazrat Danial a.s Hazrat Armia a.s Hazrat
Ashieya a.s,Hazrat Luqmaan a.s,Hazrat Dawood a.s Hazrat Kheizar a.s isky
elawa bhe yaqenan is ilm ko bohat sy ambiya janty houngay lekin in
ambiya mn hazrat daniyaal a.s aur hazrat idrees a.s k naam ilm-e-ramal k
hawaly sy bary he mustanid hain,Hazrat daniyal a.s sy tu ramal ka aik
daira bhe mansoob hai jesko daria-e-daniyaal bhe kehty hain .ketaab
aftaab-e-ramal(1289 h) musanif sm.hasan /ghulaam hasan munajim sultani
dehalvi page 4 par lekhty hain k "ye ilm asmani ilm hai ALLAH jaly
shanahu azro-e-wahi ky 7 peghamberon ko ata farmaya".
HAZRAT ADAM(a.s) KA ILM RAMAL:
Jab Hazrat Adam(a.s) aur Bibi Hawa(a.s) ko janat say nikala gaya to
hazrat Adam (a.s) ko duniya kay aak konay par rakha aur bibi Hawa(a.s)
ko duniya kay dosray konay par rakha gaya aur dono main judai hoi, is
doran hazrat Adam(a.s) bibi Hawa (a.s) ki judai main ghamghin rehnay
lagay, onko hazrat bibi Hawa(a.s) ki bohat fikar honay lagi kay na janay
woh kis hal main hongi aur isi fikar aur soch kay aalam main aap dariya
kay kinaray baythay hoay thay samnay rayt ki zameen thi aur Aap(a.s) ki
fingers rayt main gari hoi thi istarah:
Os waqat Hazrat Jibrael(a.s) Allah pak kay hokam say
aap(a.s) kay pas ay aur aap(a.s) ko kaha kay rayt par say apna hath otha
ay, jab aap(a.s) nay apna hath othaya to rayt par gari fingers say 4
nokton ki see sorat bani mili istarah:
Is figure ko ahal e ramal "Abu Al-Ashkal" kehtay hain,
Hazrat Jibrael(a.s) nay oskay barabar apni 4 fingers garin is say 4 aur
noktay ban gay istarah:
Jab in 8 dots ko apas main hazrat Adam(a.s) nay milaya to 4
lines ban gai aur ramal ki 2nd figure bani jisay "Om Al-Ashkal" kehtay
hain.
Kuch Olma kay mutabik hazrat Adam(a.s) ka hath rayt par rakha tha magar
fingers rayt main gari hoi nahi thi balkay seedhi rakhi thi istarah:
Hazrat Jibrael(a.s) kay kehnay par jab Hazrat Adam(a.s) nay
apna hath othaya to 4 fingers say rayt par 4 lines wali figure "Om
Al-Ashkal" bani hoi mili jis kay barabar main Hazrat Jibrael(a.s) nay
apnay hath ki 4 fingers gari aur 4 dots wali figure banai jisay "Abu
Al-Ashkal" kehtay hain, 2 figures rayt par istarah bani hoi thi:
Hazrat Jibrael(a.s) jis tarah khamoshi main zahir hoay thay osi tarah khamoshi main he rayt par noktay bana kar ghum hogay,
Allah pak Rahim Karim hain onko Hazrat Adam(a.s) ka ghamghin rehna
passand na aya isliay Allah pak nay ilm ramal ka nokta bazariay
Jibrael(a.s) hazrat Adam(a.s) ko dia.
Yeh Aak tarah say chopi paheli ya qudrat kay raaz samaya hoa math kay
equation ki tarah ak equation tha jisay Adam(a.s) ko apni zahanat say
solve karna tha aur isi kay zariay Bibi Hawa(a.s) ko dhondna tha, yeh
aak mission tha jis main hazrat Adam(a.s) nay apnay aap ko busy kar lia
is equation ko samajnay main Hazrat Adam(a.s) ko kafi arsa lag gaya aur
isi arsay main Aap(a.s) qudrat kay kafi raaz samajnay lagay aur Aap(a.s)
nay Apnay RAB e karim ki khudai ka moshaida kia aur jab Aap(a.s) pori
kainat kay system ko samjha, ghor kia to sajday main gir gay aur ro kar
ghir gara kar apnay Rab say Maafi mangi aur Allah pak nay onko maaf
kardia, yeh ilm to aak bahana tha is ak ilm say hazrat Adam(a.s) nay kai
oloom seekh liay, kainat kay nizam ko samjha, Khuda kay 99 sifat ka
moshaida kia aur apnay Rab ko pehchana, isi ilm kay zariay aap nay Bibi
Hawa(a.s) ko dhond lia aur dil main khof e khuda payda hoa aur ro kar
gir gira kar apnay Rab say maafi mangi, Allah pak yehi chahatay thay kay
woh meri kainat main ghor wa fikar karay meray nizam ko samjhay mujhay
samjhay kay main kon hon isi liay yeh muqadas ilm ramal wahi kia gaya
Hazrat Adam(a.s) par.
Hazrat Adam(a.s) nay ilm ramal ki rayt par bani 2 figures main kistarah
ghor kia aur is ilm ko samja iski muktasir tashreh yahan aap sub kay
samnay pesh kar raha hon,
Hazrat Jibrael(a.s) nay jo 4 dots rayt par dalay thay in 4 dots ko
hazrat Adam(a.s) nay 4 elements yehni anasir say mansob kia woh 4
elements hain: Fire, Air, Water, Earth,
Hazrat Adam(a.s) nay duniya ki har shay main ghor kia kay
har chez 4 elements say banti hai har shay main 4 elements kay asrat pay
jatay hain, Aap(a.s) nay pehlay soraj ko dekha aur oski heat aur garmi
ko mehsos kia aur element fire ko pehlay darjay par rakha oskay baad Air
main ghor kia kay soraj kay baad hawa taqatwar hai jo asman main badlon
ko ak jaga say dosri jaga lay jati hai aur samandar ki lehron ko
kistarah sahil par lati hai aur kistarah rayt par hawa say shadet tofan
aatay hain aur aap(a.s) nay Air ko dosray darjay par rakha, oskay baad
aap(a.s) nay barish jo badal barsatay hain, daria aur samandar main ghor
kia istarah element water ko aap(a.s) nay 3rd darjay par rakha, oskay
baad aap(a.s) nay matti aur rayt par ghor kia aur earth kay element ko
4th darjay par rakha,
4 dots wali figure main charon elements open hotay hain aur 4 lines wali
figure main charon elements closed yehni band hotay hain isi system say
aak aak ansar par aap(a.s) nay ghor kia aur ramal ki 4 aur figures bana
dali rayt par istarah:
Isitarah Hazrat Adam(a.s) ko anasir ki dosti aur dushmani
kay mutalik bhi malum para kay konsay anasir apas main dost hain konsay
dushman jesay aag par pani dalnay say aag boj jati hai etc.. aur isi
system say hazrat Adam(a.s) nay ramal ki mazid figures bana dali
istarah total 16 ramal ki figures wajod main agai:
4 elements yehni anasir kay ilm say Hazrat Adam(a.s) nay
aur bhi kai oloom seekhay jin main Alchemy, Hikmat, Najom wagayra inhe
oloom say aap(a.s) nay har ramal ki figures kay mansobat rakhay isitarah
har ramal ki figure kay kai mansobat hotay hain aur konsi figure kainat
main kis kis chez kay sath connected hai isitarah hazrat Adam(a.s) nay
is ilm par abhor hasil kar lia aur Hazrat Bibi Hawa(a.s) kay halat is
ilm say malum kiay aur ak din on say ja milay, aur apnay ilm say khuda
kay 99 mubarik isma al-hosna main ghor kia aur kainat kay nizam ko
samjha aur khuda ki raza onko hasil hoi aur jannat kay darwazay onkay
liay dobara khol gay, Aap(a.s) nay is ilm kay raaz ko apnay tak he rakha
aur apnay baray betay Hazrat Shes(a.s) ko bataya takay is ilm ki madad
say onko bhi rehnomai milay aur onki aulad bhi jannat main jasakay,
Agar ghor kia jay to ramal aak ibtadai language hai jo arabic ki
ancestor hai, ramal ki figures main 2 cheezain hoti hain 1st dot and 2nd
line inhe do cheezon say arabic kay horof abjad banay hain, kuch olmao
kay mutabik Hazrat Jibrael(a.s) Allah kay hokam say jo 4 dots rayt par
dalay thay yeh 4 dots "Bismillah al-rehman al-rahim" kay 4 dots thay,
inhe 4 muqadas dots say ilm ki ibtada hoi
HAZRAT IDRIS(a.s) KA ILM RAMAL:
Aak Rawait kay mutabik ilm ramal khoab kay zariay hazrat Idris(a.s) par
wahi hoa, Hazrat Idris(a.s) nay khoab main hazrat Jibrael(a.s) ko daykha
jo rayt par ramal ki figures bana rahai thay, hazrat Idris(a.s) nay
Jibrael(a.s) say pocha kay aap rayt par yeh kya bana rahai hain, Hazrat
Jibrael(a.s) nay ramal ki 16 figures kay raaz say Idris(a.s) ko agah
kia.
Aak dosri rawait kay mutabik Idris(a.s) nay Allah pak say
dua mangi kay mujay kuch aysa wasila ata ho jis say main apni zindagi
behtar tarikay say gozar sakon, Aak din Hazrat Idris(a.s) tanha rayt par
udas baythay rayt par lakeeray khinch rahai thay kay aak ajnabi shaks
nay Idris(a.s) say pocha kay yeh aap rayt par kya bana rahai ho?
Idris(a.s) nay jawab dia kay main aysay he apnay aap ko behla raha hon
bore horaha tha, Ajnabi shaks nay kaha aap shayad jantay nahi aap rayt
par bohat khas kam kar rahai hain yeh kam aap ki kismat badal day ga,
Idris(a.s) nay os shaks ki baat ko mazak samaj kar nazar andaz kia, Os
ajnabi shaks nay rayt par aak aur figure banai jo Idris(a.s) ki rayt par
bani figure say milti jolti thi isi tarah Idris(a.s) nay os ajnabi
shaks ki bani figure say milti jolti aak aur figure banai is tarah
banatay banatay ramal ki total 16 figures ban gai, Tab os ajnabi shaks
nay in ramal ki 16 figures ki meanings batai aur onsay zaicha banana
sikhaya aur is tarah hazrat Idris(a.s) ramal kay chopay raaz say wakif
hogay, Hazrat Idris(a.s) hayrat say os ajnabi shaks say pocha kay aap
kon ho kesay is ilm ko seekha aur mujay kuon seekhaya? Tab woh ajnabi
shaks apni asal sorat main zahir hoa aur kehnay laga main Jibrael(a.s)
hon Allah pak nay yeh
ilm aap par wahi kia hai phir Hazrat Jibrael(a.s) ghom hogay, Idris(a.s)
nay Allah pak ka shukar ada kia kay mujay woh ilm ata kia gaya hai jo
kisi ko malum nahi, Humaray Nabi Hazrat Muhammad(s.a.w) ki hadees
mubarak hai jis main aap(s.a.w) nay farmaya hai kay ilm ramal aak nabi
par wahi hoa tha aur woh nabi hazrat Idris(a.s) thay, is hadees ki image
main yahan share kar raha hon takay aap ki knowledge main izafa ho:
Isitarah Hazrat Ali(a.s) nay bhi hazrat Idris(a.s) kay ramal kay mutalik farmaya hai kay:
Yehni "Tum nay dekha kistarah Allah pak nay apnay fazal say
hazrat Idris(a.s) par ilm ka fayz pohanchaya aur apnay fazal say ilm
al-nokat(ramal) ko alham kia aur wahi bhej kar onki subi moshkilat ko
hal kia."
Idris(a.s) nay wafat say pehlay is ilm par kitab likhi jisay yahodi log
"Lost Book of Enoch" kay nam say pukartay hain yeh book complete to na
mil saki magar kuch hisa is book ka mila hai jis main ilm ramal kay sath
aur bhi kai rohani oloom kay raaz is book main hain, istarah kai logon
nay is book say yeh ilm seekha.
HAZRAT NUH(a.s) KA ILM RAMAL:
Hazrat Nuh(a.s) ki kom bot parasti aur kai shirk kay kamo main motala
hogai, shirk aur gunah dunia main itna barh aur phayl gaya kay Allah
pak sakt naraz hoay, os dor main sirf 1 Hazrat Nuh(a.s) he thay jo Allah
pak ki ibadat kartay thay, Hazrat Nuh(a.s) nay apni kom ko deen e haq
ki taraf lanay aur sahi raah dikhanay ki bohat koshish ki magar woh na
manay khud olta mazak oranay lagay, jis par Hazrat Jibrael(a.s) Allah
pak kay hokam say ramal ki aak figure hazrat Nuh(a.s) ko dikhai jistarah
pehlay hazrat Adam(a.s) ko rayt par 4 dots dal kar dikhai thi magar jo
hazrat Nuh(a.s) ko figure dikhai woh alag thi jo kuch istarah thi:
Aur Allah pak nay Hazrat Nuh(a.s) ko kashti bananay ka
hokam dia, jab hazrat Nuh(a.s) ki kom nay aap(a.s) ko registan main
jahan har taraf rayt he rayt thi aur dor dor tak pani ka nam wa nishan
tak na tha wahan kashti banatay dekha to hasnay aur mazak oranay lagay,
aur jab hazrat Nuh(a.s) nay kashti bana dali to Allah pak nay hazrat
Nuh(a.s) ko onki family kay sath kashti main janay ka hokam dia, aur
hazrat Nuh(a.s) apni family kay sath kashti main agay aur phir Khuda ka
azab nazil hoa na thamnay wali barish aur saylab ki sorat main jis say
dunia main har jandar dob par fana hogaya sirf woh he zinda rahai jo
hazrat Nuh(a.s) ki kashti main thay:
Yeh azab kai arsay tak raha aur dunia main har jandar dob
kar mar gaya aur akhir kar azab khatam honay laga aur hazrat Nuh(a.s) ki
kashti aak pahar par akar rok gai aur yeh scene osi ramal ki figure
lehan jesay dikhai denay laga:
Aur aak dosri rawayat kay mutabik jab hazrat Nuh(a.s) kay
betay aur onki auladay dunia main har jaga phel gay aur kafi arsa guzar
janay kay baad Hazrat Nuh(a.s) ko onki khair khabar na mili to hazrat
Nuh(a.s) nay Allah pak say Dua mangi kay onko aysa ilm ata ho jis say
woh apni aulad kay halat say wakif hosakay aur istarah Hazrat
Jibrael(a.s) nay Allah pak kay hokam say ilm ramal hazrat Nuh(a.s) ko
talim farmaya aur aap(a.s) is ilm ki madad say apni aulad kay halat say
wakif rehtay thay.
HAZRAT IBRAHIM(a.s) KA ILM RAMAL:
Jab Allah pak nay Hazrat Ibrahim(a.s) ko Kaaba sharif bananay ka hokam
farmaya to Hazrat Ibrahim(a.s) ko malum na tha kay iski jaga konsi hai
ya konsi jaga par banaya jay aur kesa shape hona chahehai, Aap(a.s) isi
soch main bethay thay kay Hazrat Jibrael(a.s) Allah pak kay hokam say
zahir hoay aur onhonay apnay hath ki finger asman ki taraf ishara ki
jiska matlab tha khuda 1 hai phir hazrat Jibrael(a.s) nay osi finger ko
zamin ki taraf ishara karkay zamin par finger gari jis say dot ban gaya:
Add caption
Aur phir yahi dot phel kar 4 dots ban gay square ki tarah:
Yahi woh Bismillah sharif ki "Bay" ka nokta tha jo Hazrat
Jibrael(a.s) nay zamin par banaya aur jis say Bismillah al-reham
al-rahim kay 4 noktay square ki sorat main zamin par ban gay aur yahi
woh 4 noktay thay jo pehlay hazrat Adam(a.s) par nazil hoay thay, Hazrat
Ibrahim(a.s) aur Hazrat Ismael(a.s) nay 4 nokton par Kaaba sharif ki
boniad dali aur 4 deewaray banai aur square ki shape main Kaaba sharif
banaya.
HAZRAT MUSA(a.s) KA ILM RAMAL:
Hazrat Musa(a.s) par ilm ramal wahi hoa tha jewish log is ilm ko
"Kabbalah" kehtay hain, Kabbalah aak hebrew yehni abrani word hai jiska
matlab hai "The Received Wisdom", Jewish logon kay mutabik Khuda nay sub
say pehlay Kabbalah ka ilm farishton ko sikhaya tha dunia bannay say
pehlay aur Hazrat Adam(a.s) ko sub say pehlay Hazrat Raziel(a.s) kay
zariay sikhaya gaya jab onko jannat say nikala gaya tha, takay Hazrat
Adam(a.s) is ilm ko seekh kar qudrat ka moshaida karay aur wapis osi
makam jannat par jasakay, Hazrat Adam(a.s) kay baad yeh ilm montakil
hota raha aur phir achanak yeh ilm dunia say ghum hogaya jesay aaj kal
kay scientific dor main kafi rohani olom ghum hogay hain, is tarah os
dor main logon main shirk phelnay laga aur jahalat aur bot parasti phir
barhnay lagi, istarah yeh ilm phir Hazrat Ibrahim(a.s) par nazil hoa
onhonay is ilm ko kafi phelaya onkay baad phir yeh ilm jewish logon main
ghom hogaya jab woh misar yehni egypt main golami ki zindagi gozartay
thay, aur akhir kar phir yeh muqadas ilm Hazrat Musa(a.s) par nazil hoa
jab Aap(a.s) pahar par khuda say milay, jab pehli dafa hazrat Musa(a.s)
pahar par ghay to khuda nay onko ilm e zahiri taleem farmaya jisay "Ten
Commandments" ya das ahkam kehtay hain yeh ilm onki kom kay aam logon
kay liay tha, jab Hazrat Musa(a.s) dosri bar pahar par khuda say milay
to onko Khuda nay ilm e batini ki taleem di jisay kabbalah kaha jata
hai, Hazrat Musa(a.s) nay yeh ilm apnay tak he rakha aur apna bhai
Hazrat Haroon(a.s) ko taleem farmaya aur onko kaha kay yeh ilm sirf apni
family tak he mehdod rakhna istarah yeh ilm bani israel kay paygambaron
main montakil hota raha, aur aab main is ilm kay mutalik kuch muktasir
batain aap say share karta hon, kabbalah ilm main jo key hai jis say yeh
ilm asani say samja jasakta hai woh hai "Tree of Life" yehni shajar e
hayat, oski image istarah hoti hai:
Yeh 10 ahkam e batini ya woh 10 ilm ramal kay noktay hain
jisay khuda nay hazrat Musa(a.s) par nazil farmay thay, jisay jewish
log tree of life kehtay hain aur isi main sub raaz poshida hain ,
HAZRAT ARMIAH(a.s) KA ILM RAMAL:
Hazrat Armiah(a.s) ki kom kay log ilm najom (astrology) say aak dosray
ki madad kartay thay aur is kay sath mashgol hotay thay aur onkay liay
koi shogal nahi tha magar woh ilm najom main nazar rakhtay thay, onkay
priest bohat magror thay onko apnay ilm par bara naz tha onkay mutabik
ilm najom say afzal dosra koi ilm ho he nahi sakta istarah woh Khuda ko
bhol kar sitara parasti karnay lag gay aur 7 sitaron kay bot bana kar
onki puja karnay lag gay,
Pas Allah pak nay Armiah(a.s) ki taraf wahi bhayji Aur Hazrat Armiah(a.s) nay apni kom say farmaya:
"Kon afzal hai jo asman, Sitaray, koakab, chalnay walay falk, soraj aur
chand ki taraf dekhay woh motehrik hai aur os main harkat hai aur woh
oskay mutalik bagair asal kalam kay sath baat karta hai kai dafa sahi
hota hai aur kai dafa khata hojati hai,
Ya Phir woh jo zameen ki taraf dekhta hai aur yeh jamad sakin gair
motehrik hai jis main harkat nahi hai, matti main lakeeray khinchta hai
aur tumhai on cheezon kay baray main khabar dayta hai jo oskay awal say
akhir tak os saal main hai aur jo kuch oski barishon, nibat, ajnas oskay
bhao, oskay sastay aur mehangay honay say hai aur jo tumharay dushman
tumharay sheharon main chaltay hain tumhai fateh aur shiksat kay baray
main khabar daytay hain aur tumhai zindagi, mot, omaron kay lambay aur
chotay honay kay baray main khabar daytay hain aur yeh kay hamla aurat
mozakir ya monis main say kya janay gi,
Aap(a.s) ki kom nay kaha jo zameen main daykhta hai afzal hai, agar tum
hakim aur fazil ho ya Nabi aur tum is par kadir ho kay jo kuch tum bolo
osko apni dalael kay sath zahir karo aur jo kuch tum nay bola oskay sath
amal karo, Agar tum nay yeh kardia to hum aap ki atba karain gay aur
aap ki Nabowat kay sath eeman lain gay.
Pas Hazrat Armiah(a.s) nay kaha ay Rab to sub say ziada jannay wala hai
jo kuch onhonay kaha mujay woh ilm taleem do jis kay sath main onkay ilm
ko batil kardon, Pas Allah pak nay hazrat Armiah (a.s) par 16 ramal ki
figures nazil ki phir Armiah(a.s) nay on figures ko onki kom kay tarikon
say mix kia aur har figure kay neechay likha jo borj, koakab, manazil,
atraf, jawahar, anasir, nibatat, haywan, horof, adad oskay sath mansob
hai aur makhlokat main har shay oskay sath mansob hai,
Pas Hazrat Armiah (a.s) onki taraf ay aap (a.s) nay onsay kaha muj say
pocho jo tum chahatay ho bayshak main Allah pak kay hokam say matti say
oskay sath tumhai khabar don ga, Onhonay Armiah (a.s) say pocha jo kuch
is saal main awal say akhir tak hoga aur on tamam kay baray main jo
zaraet, hawaon, harkat, sukon, barishon aur narkhon kay sastay, mehangay
honay kay baray main hoga,
Hazrat Armiah(a.s) nay onko din ba din, saet ba saet agah kardia aur
jo kuch Aap(a.s) nay kaha to onhonay apnay cheharon kay sath onki taraf
maylan kia aur onhonay Hazrat Armiah(a.s) ki tazdeek ki aur inhain apna
Nabi man lia aur jis tarikon par woh pehlay thay osay onhonay batil
kardia. Isliay Nabi kareem(S.a.w) ka kol hai: "Meray bhai Armiah(a.s)
matti main lakeeray khinchtay thay pas jis nay onki lakeer khat ki
moafkat ki woh thek hoa".
Hazrat Armiah(a.s) nay sub say pehlay ilm ramal ko ilm najom kay sath
mix kia aur aaj hum jo zaicha ramal ka banatay hain woh isi tarah he
banatay hain jis tarah Hazrat Armiah(a.s) banaya kartay thay aur aaj bhi
har ramal ki figures kay mansobat wahi same use hotay hain jo hazrat
Armiah(a.s) nay ayjad kiay thay jiski ak image main yahan aap say share
kar raha hon:
HAZRAT DANIAL(a.s) KA ILM RAMAL:
Hazrat Danial(a.s) Paharon kay daman main chop kar tanhai main Allah pak
ki ibadat main masrof rehtay thay, Aak din Hazrat Jibrael (a.s) ilm
ramal ko aap kay pas lay aur farmaya, Allah pak ka hokam hai kay gumrah
logon ko haq ki taraf dawat dain aur ilm ramal ki madad say logon kay
dilon ko haq ki taraf phayray isliay kay aap kay pas zahiri tor par koi
wasail nahi hain, Chinachay Hazrat Danial (a.s) pahar say otar kar
neechay ay thori rayt apnay sath liay misar (egypt) kay bazar main aak
konay main akar beth gay, har shaks nay akar pocha kay yeh rayt kaysi
hai Aap(a.s) nay farmaya kay tum muj say sawal karo main iska jawab don
ga, chinachay bohat logon nay muktalif sawalat kiay kisi nay kaha kay
hum kis kam ko jatay hain, kisi nay kaha kay aaj hum ghar say kya khana
kha kar chalay
hain aur humaray ghar main kis kadar dolat hai aur kitnay aadmi hain ya
humaray ghar main khazana hai ya nahi, agar hai to kis kadar hai, aur
kuch nay pocha kay humaray dil main kya hai, Aap(a.s) nay is ilm sharif
say aysay sahi jawabat diay kay os main fark na tha hazaron ahal e misar
eeman lay ay.
Kuch tarikh main olmao nay istarah likha hai kay jab Hazrat
Danial(a.s) apni kom ki mukhalfat ki waja say shar say bahir gay tab
yeh ilm bator e mojaza ata hoa tha, Aap (a.s) nay is ilm kay zariay
logon kay dilon ka hal bayan kia is say kom main hazrat Danial(a.s) ki
izat aur aytmad payda hogaya, ortay ortay yeh khabar os waqat kay
badshah ko pohanchi to osnay hazrat Danial(a.s) ko bolwa bhayja aur
imtehan laynay kay liay chand batain pochi jin ka Aap (a.s) nay dorast
jawab dia jis say badshah bohat mutasir hoa osnay
hazrat Danial(a.s) say kaha kay aap meray betay ko ilm Ramal ki taleem
dain, Hazrat Danial(a.s) nay shezaday ko bari dil jami kay sath ilm
ramal ki taleem dena shoro ki aur is ilm main mahir kardia, jab shezada
ilm ramal main kamil hogaya to badshah bohat khush hoa, Badshah nay
akaylay main hazrat Danial(a.s) ko bolaya wahan par shezada bhi mojod
tha kol 3 afrad wahan par mojod thay, bataon bataon main hazrat
Danial(a.s) nay shezaday say farmaya kay humaysha say yeh mamol chala
araha hai kay har aak zamanay main Allah pak nay logon ki hidayat aur
rehnomai kay liay
aak paygambar ko bhayja hai, tum ilm ramal kay zariay malum karo kay is
zamanay main koi paygambar mojod hai kay nahi?, chinachay shezaday nay
khat ramal khincha aur hisab laga kar kaha kay is zamanay main paygambar
mojod hai, Hazrat Danial(a.s) nay phir pocha kay agar paygambar hai to
is waqat kis shehar main hai?, shezaday nay hisab laga kar bataya kay
isi shehar main hai, Hazrat Danial(a.s) nay phir dariafat kia kay isi
shehar main kis mokam par hai?, shezaday nay jawab dia isi mokam par
hai, Tab Hazrat Danial (a.s) nay pocha kay agar paygambar is jaga par
hai to woh kon hai? shezaday nay phir hisab laga kar kaha is jaga par
hum 3 shaks hain na to main paygambar hon na mera baap paygambar hai
beshak
aap paygambar bar haq hain, Badshah yeh giftago son raha tha woh aur
shehzada osi waqat hazrat Danial(a.s) par eeman lay ay oskay baad baki
tamam kom bhi gomrahi say tayb hokar hazrat Danial (a.s) par eeman lay
ai.
Iski aak tarikh Alama Ibn Khaldon apni kitab Tarikh e Aalam main istarah bayan kia hai:
Babylon kay Badshah Nebuchadnerzzar nay Jerusalem par hamla kia aur
Haykal muqadas (Temple of solomon) ko veeran, barbad kar kay bani israel
ko zanjeeron say bandh kar bayaban nanwa main qaid kia, os waqat bani
israel kay qaidion ki tadad 96 thousand thi aur woh bayaban main
muktalif makamat par katar andar katar kholay asman kay talay rayt par
bethay qaid wa band ki sakhtian jhayl rahai thay, os waqat israel kay
deeni rahnama Hazrat Danial (a.s) thay jo kom kay is tarah kay sakht
halat ki waja say sakht parayshan thay, chinachay kom kay muktalif
girhon kay halat say agah honay kay liay Allah pak nay Jibrael
ameen(a.s) kay zariay ilm ramal ata farmaya.
Hazrat Danial(a.s) rayt par bethay thay aur dil wa dimagh kom kay
bais parayshan thay hath rayt kay zaron main garhai thay, jonhe
Jibrael(a.s) nazil hoay to aap nay hath rayt say alag kar kay onki
taraf tawaja ki, Jibrael nay aap ko Khuda ka salam dia aur farmaya
"Danial parayshan na ho aur rayt par apnay hathon ki onglion kay
nishanat ko daykh aur qudrat Khudawand Rab almeen molakhta kar",
Aap(a.s) nay nishanat ko daykha to woh noktay (dots) ki tarah thay dono
hathon kay 8 dots banay thay, in 8 dots say Hazrat Jibrael (a.s) nay
Hazrat Danial (a.s) ko ramal ki 16 figures taleem farmai aur in figures
ki meanings batai jin kay zariay Danial(a.s) bani israel kay muktalif
girhon kay halat say wakif hoay aur phir isi ilm kay zariay aap nay
Babylon kay badshah ko apna garweda banaya".
HAZRAT LUQMAN KA ILM RAMAL:
Hazrat Luqman ko Allah pak nay Hikmat ka ilm baksha tha jiskay mutalik
Quran sharif main Allah pak nay farmaya hai "Aur Hum nay Luqman ko
Hikmat Bakshi kay Khuda ka shukar karo.", Hazrat luqman ko Allah pak nay
intaha darjay ki hikmat say nawaza tha laykin onhai Nabowat say
sarfaraz nahi farmaya tha, Hazrat luqman aak african ya sudani thay aur
chotay qad, chipti nak walay siahfam habshi thay aur aap kay chehray ka
rang bohat siah yehni kala tha, aap ko har kisam ki jari botio ka ilm
tha aur ilm hikmat main aap say barh kar koi nahi, hikmat kay sath ilm
ramal bhi Allah pak nay aap ko ata farmaya tha, jo aaj bhi african
countries main siahfam log jantay hain, luqmani ramal ko "Ifa" kaha jata
hai,
Luqmani ramal main sirf 2 ramal ki figures banai jati hain
aur inki 2 figures say sub halat malum par jatay hain, luqmani ramal ka
tarika bohat ajeeb aur gehra hai jisay har koi samaj nahi sakta wahi
samaj sakta hai jisay Allah pak Hazrat Luqman jesi zahanat day,
Hazrat luqman ilm ramal say marz ko pehlay tashkhis kartay
thay aur phir os marz ka ilaj kartay thay, aap nay apnay betay ko yeh
muqadas ilm taleem farmaya aur aap kay betay kay baad yeh ilm africa
main phel gaya aur aaj bhi yeh ilm africa kay ghanay janglon main habshi
log jantay hain aur is ilm say kai poshida amraz ko tashkhes kar kay
jari botio ya jhar phonk say ilaj kartay hain.
HAZRAT ESSA(a.s) KA ILM RAMAL:
Hazrat Essa(a.s) (Jesus Christ) bhi ilm e Ramal jantay thay
muqadas kitab e Anjeel yehni Bible kay mutabik kuch yahodion nay aak
aurat ko Hazrat Essa(a.s) kay pas lay ghay aur kaha kay is aurat nay
bara gonah kia hai isnay zina kia hai aur Mosa(a.s) kay kanon kay
mutabik is aurat ko sangsar karna hoga aur aap is kay baray main
kya kehtay hain, Hazrat Essa(a.s) zameen par aungli say lakeeray dalnay
lagay aur khamosh rahai jab yahodion nay phir pocha to Hazrat Essa(a.s)
nay yahodion say kaha kay "tum logon main say jo gonahon say pak ho woh
pehla pathar is aurat ko maray" yeh kehnay kay baad aap(a.s) phir say
zameen par lakeeron say figures bananay lagay, yahodi yeh son kar ek ek kar kay aurat ko chor kar chalay ghay, Hazrat Essa(a.s) othay aur
pocha akayli khari aurat say kay "sub kahan ghay? kisi nay kuch bhi nahi
kaha tum ko?"
aurat nay kaha "nahi kisi nay kuch na kaha mujhay", Hazrat Essa (a.s)
nay aurat ko kaha "main bhi tum ko kuch nahi kahon ga, jao aur aab
dobara gonah na karna" (John 8.2-12)
ILM-E-RAMAL AUR AIMAH-E-AHLYBAIT A.S :~
rasekhouna fel ilm AHLY BAIT A.S he hain jen sy quran mn pouchny ka hukum hai jo ham nahe jantyaimah-e-ahly bait a.s in tamaam Batni uloom k khazany k malik hain aur koie ilm aisa nahe jo in k dast-e-akhtiyar mn na ho .
ketaab mufateh-ul-ghaib urdu edition mn musanif moulana syed najam-ul-hasan sahab page 28,29 par lekhty hain k Hazrat
imam JAFER-E-SADIQ A.S ny ilm-e-ramal ,ilm-e-kemiya,ilm-e-jaffer par
aik ketaab lekhi the, ketaab raheem-ul-ramal hisa 2 k page 6 par musanif
dr.abdul raheem lekhty hain " aik rewayat mn hai ky ye ilm(ramal) degar
mutabarik uloom ke tarhan apni asli halat mn hazrat sahib-ul-asar imam
MAHDI a.s k pass moujood hain,(Hazrat Ali a.s k hath ke lekhi hoie
ketaab jaffer al jameh jes mn qayamat tak k waqiyaat darj hain woh bhe
unke pass hai) imam jafer-e-sadiq a.s
astrology,astronomy,kemiya,numerology,jafer aur dosry aloom ke
tarhan ilm-e-ramal bhe janty thy .
RAMAL KE SHAKAL LEHYAAN
ramal ke shakal rehaan jo lehyaan kehlati hai ka pehla hurf alif hai ,number 1 aur sitara mushtari k sath hai ,yani lehyaan dairah sukan,abdah,daniyali,abjad,asah,ansar ya dairah-e-hurf ya aks k pehly khany mn ati hai sirf dairah buzuh dosry khny mn ati hai dairahabdah mn chunky nuqaat ko ahmiyat hasil hai lehaza lehyaan ka abdah mn khana awal mn ana nehayat mubarak samjha jata hai ,is mn 7 nukty hain pehla atishi,2 nukty hawai,2 nukty abi aur 2 khaki hain ,awal nukta atish lehyaan ke jaan hai agar ham pehly nukty ko badal kar dosry tesry ya chuthy number par ly aien tu mafhoom he badal jata hai .
ilm-e-ramal
mn nukty ko bohat ahmiyat de hai kesi k zaichy mn lehyaan ka ajana
intehai mubarak aur khush bakhti ke alamt mana jata hai aur kesi bhe
ramaal ko zaichy k pehly ghar mn lehyaan ko dekh kar nateja nekalny mn dyr nahe lagte,hazrat Ali a.s ka nukty aur lehyaan k sath kya taluq hai ye baat tabhe samjh ayege k jab is nukty ko atish ke bajaye noori taswur kareingay wesy ghour kiya jaye tu asal mn atish ny bhe tu noor he sy janam liya hai.
LEHYAAN KE SEFAAT :~
1-saad akbar
2-hurf alif,
3-kokab mushtari,
4-mizaaj atshi-sharqi
5-khandaan shreef ala ilm aur fazal ka gharana
6-khush khalq,ze feham,fasahat aur balaghat
7-peshani aur sena fraakh
8-mahir ilm-e-riyazi,qazi,adalat,kachehri
9-muqaam baland,masjid,ibadat gah
10-din jumyraat
11-makkah,mashhad,neshapur,NAJAF
12-Taaj
(hawala:mukammal ramal surkhaab page 122.)
RAMAAL KY AUSAAF :~(THE GEOMANCER)
Aik ramaal ko paband-e-ahkaam-e-shariyat hona bhot
zarori hai uski zubaan sy jhoot na nekalta ho km bolny wala km sony
wala ho aur fuzool aur laghu guftugu sy parhaiz karta ho na kesi ke
tareef par khush ho aur na kesi k bura kehny par ghamzada,har ahkaam ko
men janib ALLAH ke neyat sy batyae us mn apni raye shamil na kary,jo
baat batany k qabil na ho us ko ishary sy samjhay,zaicha banay sy pehly ALLAH ke bargah mn apny matlab k hal k leye dua kary, zaichy mn khob ghor-o-khos kary zaicha banay sy jawab dyny tak sail k sawaal ko zehan mn rakhy .pak libas pehny aur khushbu ka apny qareeb ahtimam kary.
RAMAL K QUR'RY DICES : ~
wesy
tu zaicha-e-ramal banay k leye ashkaal nekalny k kai tareky hain lekin
jo tareka qadeem aur ajj tak sahe chala araha hai woh bazarya dices ka
hai is mn ramaal sail sy sawaal ke neyat karwa kar dices dalwata
hai aur us sy hasil shapes ko zaicha mn daal kar zaicha tarteeb dyta
hai is kesam k zaichy mn jawaab usi surat mn sahe ata hai jab k
qur'ra-e-ramal dices belkul sahe bany hun ur unke banawat mn kesi kesam
ke kmi aur ghalti na hoie ho
DICES KE TAYARI :~
dices
ke tayari mn 7 dhatein seven holy metals use hoti hain ye saath dhatein
sath setaron sy mansoob hain jab sail sawaal k leye dices daly ga tu
un dices mn 7 stars ke power already mojood hoge jes sy sawaal sahe
ayega, in sab dhaton ke aik muqarara miqdaar mel kar ramal k dices
banati hain is ky banany k leye waqt tehweel aftaab dar burj hamal afzal
waqt hai ,banany wala pak saaf ho aur qibla ro hokar banaye .
ZAICHA RAMAL
koi bhi neya kaam shoro karne se pehle apna zaicha ramal zaror banwa kar us kaam k mantaqi anjam k motaliq zaror malom karen jese shadi,karobar,jadu seher,taweel bemari,na khatam hone wali gharelo preshani,talim, karobari shrakat,izafi amdani,prize bond lottry inaam ka hasil hona ya na hone ki wajohat,psandeda shadi,muhabbat,ap ka sawal jo bhi ho insha Allah jawab drosat ho ga bazrya zaicha ramal etc,
AGAR AP ZAICHA BANWANA CHAHEN TO RABTA KAR SAKTE HAIN 09;30 PM SE 10;30 PM TAK
DUA KI DARKHOST HAI,
M A KAZMI
03435203830
KAZMIMA37@GMAIL.COM