Friday 18 September 2015

ISRAR E ILM E RAMAL


ILM-E-RAMAL :-

Pak hai woh zaat jes ny aisy pak aloom makhlooq ke bhalai aur mushkil kushai k leye autary aur Pak hain woh hastiyan jin par ye Ilm autary gaye aur unhoun ny khedmat-e-khalq ke aur in aloom- ko aam kiya,Ilm-e-ramal woh qadeem ilm jis k zarye ham kesi shaks ka mazi haal aur musqtabil ka sirf aik zaicha bana kar bata sakty hain ramal k ek zaichy sy pory 144 sawalaat k jawabaat milty hain ,aur dosry tareky sy 164 tak jawabaat milty hain,Ramal ka lafz apny mani k hisaab sy bohat hi waseh hai yani k rayt jestarhan regestaan mn rayt ka koi andaza nahi laga sakta usi tarhan ye ilm bhi

 la mehdood aur bohat wusehat leye hoay  hai,is ilm ko lakeron ke science kaha jaye tu ghalat na ho ga is ilm k ahaty mn khaliq-e-kainaat ny har cheez ka hissa rakh diya hai is leye ye ilm nehayat saucha hai,

TAREEKH ILM E RAMAL  :~~

ketaab tareekh-e-alam ibn-e-khuldoon lekhte hai k "ilm-e-ramal ka nuzool Hazrat Danial a.s par ALLAH ny ba wasatat jibrael a.s kiya". is ilm ke ibtada tu pehly hogaie the albata uooj par unky dour mn aya yahan ye lekhna bhe zarori hai k ahly hind hazrat danial alahy salaam ka ustaad Tem Tem Hindi ko manaty hain jesy k surkhaab ramal k musanif pro.hakeem munshi raghbeer singh sayah apni book k page 7 par lekhty hain k "aam rewayat mowajed is ilm k daniyaal a.s hain  ,agay chal kar lekhty hin k ye ilm bhe  ejaad kardah mahereen falsfa wa science ahly hind hai isky saboot k tur par ahly hind dairah abdah ko pesh karty hain jo tarteeb kardah danial a.s hai aur ye he woh dairah hai jesko asal aur taskeen aur uml-ul-dawair aur taskeen tem tem hindi bhe kehty hai aur isi tem tem ko ahly hind hazrat danial ka ustaad kehty hain isi wajah sy is ilm ko woh khud sy mansoob karty hain ,hakeem tem tem hindi ka zamana tu pata nahe albata agr tem tem k laghwei maeny dekhy jain tu tem buzruge barai aur ala ko kehty hain dosry maney maal-e-basyaar k hain aur jes tarhan tem tem muraqab hai tu is sy ( jibrael a.s muraad hain ) yani k ahly hind jesko hakeem tem tem hindi k naam sy janty hain aur hazrat danial ka ustaad kehty hain woh hazrat jibraiel he hain har tarhan is naam-e-pak k leye barai he barai pai jati hai .
s.nazir hussain ba hawala tareekh khuldoon apni book mn lekhty hain k ilm-e-ramal k asaar ahly misr k han bhe mojood thy faroos nami misri kahen is ilm ka bani mubani tha jes ny  is ilm par ketaab lekh kar sandook ko tala laga kar band kardi the aur mumfis k daldalon mn aik muqaam par rakh de the jesy egypt k 3rd shahi khandaan ky 4th badshah ramees doyum ny wahan sy nekalwaya ,isi badshah k dar bari kahein sist aamoon ny dobara is ilm ko misr mn zindah kiya.

ahl-e-yunan bhe ilm-e-ramal janaty thy aur mashoor falsafi jalenos bhe apny dour ka by badal ramaal tha ,isi arhan is ky baad sukraat aur aflatoon be is ilm k ulma mn shumaar hoty hain,yunan sy ye ilm italy walon ny aur wahan sy tamaam aqwaam-e-europe ny hasil kiya,phir jab muslmaan aur aqwam-e-europe aik dosry mn shamil hoay tu musalman ulma ny is ilm mn tarhan tarhan ke mushghafiyn bayan karky ahly europe ko is sy mazeed roshnaas kiya.

muslmaan ulma ny is ilm ko kuldi kahenun aur iranai wasateer sy sekha aur is ilm ko miraaj-e-kamal tak pohanchaya ,isi waja sy ahd-e-qachaar ka mashoor aur maroof irani ramaal Surkhaab apny dour ka by badal ramaal tha ,is hakeem ny ilm-e-ramal ko is kamaal tak pohanchaya k ajj ye ilm baqaida science mn shumaar hota hai .


ILM-E-RAMAL AUR AMBIYA ALHAY SALAAM :-

ilm-e-ramal aik aisa ilhami ilm hai jo ambiya alahy salaam par wahe k zarye ya dosry zaraye sy autara gaya ,
bohat sy ambiya alahy salaam is ilm k mahir thy lekin tareekh mn jenka zikar hamein milta hai aur jenke k naaam hamein aimah masomeen a.s k zarye rewayaat mn milty hain un mn Hazrat Adam a.s,Hazrat Shees a.s,Hazrat Idrees a.s  hazrat Esa a.s hazrat Danial a.s Hazrat Armia a.s Hazrat Ashieya a.s,Hazrat Luqmaan a.s,Hazrat Dawood a.s Hazrat Kheizar a.s isky elawa bhe yaqenan is ilm ko bohat sy ambiya janty houngay lekin in ambiya mn hazrat daniyaal a.s aur hazrat idrees a.s k naam ilm-e-ramal k hawaly sy bary he mustanid hain,Hazrat daniyal a.s sy tu ramal ka aik daira bhe mansoob hai jesko daria-e-daniyaal bhe kehty hain .ketaab aftaab-e-ramal(1289 h) musanif sm.hasan /ghulaam hasan munajim sultani dehalvi page 4 par lekhty hain k "ye ilm asmani ilm hai ALLAH jaly shanahu azro-e-wahi ky 7 peghamberon ko ata farmaya".

HAZRAT ADAM(a.s) KA ILM RAMAL:
Jab Hazrat Adam(a.s) aur Bibi Hawa(a.s) ko janat say nikala gaya to
hazrat Adam (a.s) ko duniya kay aak konay par rakha aur bibi Hawa(a.s) ko duniya kay dosray konay par rakha gaya aur dono main judai hoi, is doran hazrat Adam(a.s) bibi Hawa (a.s) ki judai main ghamghin rehnay lagay, onko hazrat bibi Hawa(a.s) ki bohat fikar honay lagi kay na janay woh kis hal main hongi aur isi fikar aur soch kay aalam main aap dariya kay kinaray baythay hoay thay samnay rayt ki zameen thi aur Aap(a.s) ki fingers rayt main gari hoi thi istarah:

Os waqat Hazrat Jibrael(a.s) Allah pak kay hokam say aap(a.s) kay pas ay aur aap(a.s) ko kaha kay rayt par say apna hath otha ay, jab aap(a.s) nay apna hath othaya to rayt par gari fingers say 4 nokton ki see sorat bani mili istarah:

Is figure ko ahal e ramal "Abu Al-Ashkal" kehtay hain, Hazrat Jibrael(a.s) nay oskay barabar apni 4 fingers garin is say 4 aur noktay ban gay istarah:

Jab in 8 dots ko apas main hazrat Adam(a.s) nay milaya to 4 lines ban gai aur ramal ki 2nd figure bani jisay "Om Al-Ashkal" kehtay hain.
Kuch Olma kay mutabik hazrat Adam(a.s) ka hath rayt par rakha tha magar fingers rayt main gari hoi nahi thi balkay seedhi rakhi thi istarah:

Hazrat Jibrael(a.s) kay kehnay par jab Hazrat Adam(a.s) nay apna hath othaya to 4 fingers say rayt par 4 lines wali figure "Om Al-Ashkal" bani hoi mili jis kay barabar main Hazrat Jibrael(a.s) nay apnay hath ki 4 fingers gari aur 4 dots wali figure banai jisay "Abu Al-Ashkal" kehtay hain, 2 figures rayt par istarah bani hoi thi:

Hazrat Jibrael(a.s) jis tarah khamoshi main zahir hoay thay osi tarah khamoshi main he rayt par noktay bana kar ghum hogay,
Allah pak Rahim Karim hain onko Hazrat Adam(a.s) ka ghamghin rehna passand na aya isliay Allah pak nay ilm ramal ka nokta bazariay Jibrael(a.s) hazrat Adam(a.s) ko dia.
Yeh Aak tarah say chopi paheli ya qudrat kay raaz samaya hoa math kay equation ki tarah ak equation tha jisay Adam(a.s) ko apni zahanat say solve karna tha aur isi kay zariay Bibi Hawa(a.s) ko dhondna tha, yeh aak mission tha jis main hazrat Adam(a.s) nay apnay aap ko busy kar lia is equation ko samajnay main Hazrat Adam(a.s) ko kafi arsa lag gaya aur isi arsay main Aap(a.s) qudrat kay kafi raaz samajnay lagay aur Aap(a.s) nay Apnay RAB e karim ki khudai ka moshaida kia aur jab Aap(a.s) pori kainat kay system ko samjha, ghor kia to sajday main gir gay aur ro kar ghir gara kar apnay Rab say Maafi mangi aur Allah pak nay onko maaf kardia, yeh ilm to aak bahana tha is ak ilm say hazrat Adam(a.s) nay kai oloom seekh liay, kainat kay nizam ko samjha, Khuda kay 99 sifat ka moshaida kia aur apnay Rab ko pehchana, isi ilm kay zariay aap nay Bibi Hawa(a.s) ko dhond lia aur dil main khof e khuda payda hoa aur ro kar gir gira kar apnay Rab say maafi mangi, Allah pak yehi chahatay thay kay woh meri kainat main ghor wa fikar karay meray nizam ko samjhay mujhay samjhay kay main kon hon isi liay yeh muqadas ilm ramal wahi kia gaya Hazrat Adam(a.s) par.
Hazrat Adam(a.s) nay ilm ramal ki rayt par bani 2 figures main kistarah ghor kia aur is ilm ko samja iski muktasir tashreh yahan aap sub kay samnay  pesh kar raha hon,
Hazrat Jibrael(a.s) nay jo 4 dots rayt par dalay thay in 4 dots ko hazrat Adam(a.s) nay 4 elements yehni anasir say mansob kia woh 4 elements hain: Fire, Air, Water, Earth,

Hazrat Adam(a.s) nay duniya ki har shay main ghor kia kay har chez 4 elements say banti hai har shay main 4 elements kay asrat pay jatay hain, Aap(a.s) nay pehlay soraj ko dekha aur oski heat aur garmi ko mehsos kia aur element fire ko pehlay darjay par rakha oskay baad Air main ghor kia kay soraj kay baad hawa taqatwar hai jo asman main badlon ko ak jaga say dosri jaga lay jati hai aur samandar ki lehron ko kistarah sahil par lati hai aur kistarah rayt par hawa say shadet tofan aatay hain aur aap(a.s) nay Air ko dosray darjay par rakha, oskay baad aap(a.s) nay barish jo badal barsatay hain, daria aur samandar main ghor kia istarah element water ko aap(a.s) nay 3rd darjay par rakha, oskay baad aap(a.s) nay matti aur rayt par ghor kia aur earth kay element ko 4th darjay par rakha,
4 dots wali figure main charon elements open hotay hain aur 4 lines wali figure main charon elements closed yehni band hotay hain isi system say aak aak ansar par aap(a.s) nay ghor kia aur ramal ki 4 aur figures bana dali rayt par istarah:

Isitarah Hazrat Adam(a.s) ko anasir ki dosti aur dushmani kay mutalik bhi malum para kay konsay anasir apas main dost hain konsay dushman jesay aag par pani dalnay say aag boj jati hai etc.. aur isi system say hazrat Adam(a.s) nay ramal ki mazid figures   bana dali istarah total 16 ramal ki figures wajod main agai:
4 elements yehni anasir kay ilm say Hazrat Adam(a.s) nay aur bhi kai oloom seekhay jin main Alchemy, Hikmat, Najom wagayra inhe oloom say aap(a.s) nay har ramal ki figures kay mansobat rakhay isitarah har ramal ki figure kay kai mansobat hotay hain aur konsi figure kainat main kis kis chez kay sath connected hai isitarah hazrat Adam(a.s) nay is ilm par abhor hasil kar lia aur Hazrat Bibi Hawa(a.s) kay halat is ilm say malum kiay aur ak din on say ja milay, aur apnay ilm say khuda kay 99 mubarik isma al-hosna main ghor kia aur kainat kay nizam ko samjha aur khuda ki raza onko hasil hoi aur jannat kay darwazay onkay liay dobara khol gay, Aap(a.s) nay is ilm kay raaz ko apnay tak he rakha aur apnay baray betay Hazrat Shes(a.s) ko bataya takay is ilm ki madad say onko bhi rehnomai milay aur onki aulad bhi jannat main jasakay,
Agar ghor kia jay to ramal aak ibtadai language hai jo arabic ki ancestor hai, ramal ki figures main 2 cheezain hoti hain 1st dot and 2nd line inhe do cheezon say arabic kay horof abjad banay hain, kuch olmao kay mutabik Hazrat Jibrael(a.s) Allah kay hokam say jo 4 dots rayt par dalay thay yeh 4 dots "Bismillah al-rehman al-rahim" kay 4 dots thay, inhe 4 muqadas dots say ilm ki ibtada hoi 


HAZRAT IDRIS(a.s) KA ILM RAMAL:
Aak Rawait kay mutabik ilm ramal khoab kay zariay hazrat Idris(a.s) par wahi hoa, Hazrat Idris(a.s) nay khoab main hazrat Jibrael(a.s) ko daykha jo rayt par ramal ki figures bana rahai thay, hazrat Idris(a.s) nay Jibrael(a.s) say pocha kay aap rayt par yeh kya bana rahai hain, Hazrat Jibrael(a.s) nay ramal ki 16 figures kay raaz say Idris(a.s) ko agah kia.

Aak dosri rawait kay mutabik Idris(a.s) nay Allah pak say dua mangi kay mujay kuch aysa wasila ata ho jis say main apni zindagi behtar tarikay say gozar sakon, Aak din Hazrat Idris(a.s) tanha rayt par udas baythay rayt par lakeeray khinch rahai thay kay aak ajnabi shaks nay Idris(a.s) say pocha kay yeh aap rayt par kya bana rahai ho? Idris(a.s) nay jawab dia kay main aysay he apnay aap ko behla raha hon bore horaha tha, Ajnabi shaks nay kaha aap shayad jantay nahi aap rayt par bohat khas kam kar rahai hain yeh kam aap ki kismat badal day ga, Idris(a.s) nay os shaks ki baat ko mazak samaj kar nazar andaz kia, Os ajnabi shaks nay rayt par aak aur figure banai jo Idris(a.s) ki rayt par bani figure say milti jolti thi isi tarah Idris(a.s) nay os ajnabi shaks ki bani figure say milti jolti aak aur figure banai is tarah banatay banatay ramal ki total 16 figures ban gai, Tab os ajnabi shaks nay in ramal ki 16 figures ki meanings batai aur onsay zaicha banana sikhaya aur is tarah hazrat Idris(a.s) ramal kay chopay raaz say wakif hogay, Hazrat Idris(a.s) hayrat say os ajnabi shaks say pocha kay aap kon ho kesay is ilm ko seekha aur mujay kuon seekhaya? Tab woh ajnabi shaks apni asal sorat main zahir hoa aur kehnay laga main Jibrael(a.s) hon Allah pak nay yeh
ilm aap par wahi kia hai phir Hazrat Jibrael(a.s) ghom hogay, Idris(a.s) nay Allah pak ka shukar ada kia kay mujay woh ilm ata kia gaya hai jo kisi ko malum nahi, Humaray Nabi Hazrat Muhammad(s.a.w) ki hadees mubarak hai jis main aap(s.a.w) nay farmaya hai kay ilm ramal aak nabi par wahi hoa tha aur woh nabi hazrat Idris(a.s) thay, is hadees ki image main yahan share kar raha hon takay aap ki knowledge main izafa ho:

Isitarah Hazrat Ali(a.s) nay bhi hazrat Idris(a.s) kay ramal kay mutalik farmaya hai kay:

Yehni "Tum nay dekha kistarah Allah pak nay apnay fazal say hazrat Idris(a.s) par ilm ka fayz pohanchaya aur apnay fazal say ilm al-nokat(ramal) ko alham kia aur wahi bhej kar onki subi moshkilat ko hal kia."
Idris(a.s) nay wafat say pehlay is ilm par kitab likhi jisay yahodi log "Lost Book of Enoch" kay nam say pukartay hain yeh book complete to na mil saki magar kuch hisa is book ka mila hai jis main ilm ramal kay sath aur bhi kai rohani oloom kay raaz is book main hain, istarah kai logon nay is book say yeh ilm seekha.

HAZRAT NUH(a.s) KA ILM RAMAL:
Hazrat Nuh(a.s) ki kom bot parasti aur kai shirk kay kamo main motala hogai, shirk aur gunah dunia main itna barh aur phayl gaya  kay Allah pak sakt naraz hoay, os dor main sirf 1 Hazrat Nuh(a.s) he thay jo Allah pak ki ibadat kartay thay, Hazrat Nuh(a.s) nay apni kom ko deen e haq ki taraf lanay aur sahi raah dikhanay ki bohat koshish ki magar woh na manay khud olta mazak oranay lagay, jis par Hazrat Jibrael(a.s) Allah pak kay hokam say ramal ki aak figure hazrat Nuh(a.s) ko dikhai jistarah pehlay hazrat Adam(a.s) ko rayt par 4 dots dal kar dikhai thi magar jo hazrat Nuh(a.s) ko figure dikhai woh alag thi jo kuch istarah thi:

Aur Allah pak nay Hazrat Nuh(a.s) ko kashti bananay ka hokam dia, jab hazrat Nuh(a.s) ki kom nay aap(a.s) ko registan main jahan har taraf rayt he rayt thi aur dor dor tak pani ka nam wa nishan tak na tha wahan kashti banatay dekha to hasnay aur mazak oranay lagay, aur jab hazrat Nuh(a.s) nay kashti bana dali to Allah pak nay hazrat Nuh(a.s) ko onki family kay sath kashti main janay ka hokam dia, aur hazrat Nuh(a.s) apni family kay sath kashti main agay aur phir Khuda ka azab nazil hoa na thamnay wali barish aur saylab ki sorat main jis say dunia main har jandar dob par fana hogaya sirf woh he zinda rahai jo hazrat Nuh(a.s) ki kashti main thay:

Yeh azab kai arsay tak raha aur dunia main har jandar dob kar mar gaya aur akhir kar azab khatam honay laga aur hazrat Nuh(a.s) ki kashti aak pahar par akar rok gai aur yeh scene osi ramal ki figure lehan jesay dikhai denay laga:

Aur aak dosri rawayat kay mutabik jab hazrat Nuh(a.s) kay betay aur onki auladay dunia main har jaga phel gay aur kafi arsa guzar janay kay baad Hazrat Nuh(a.s) ko onki khair khabar na mili to hazrat Nuh(a.s) nay Allah pak say Dua mangi kay onko aysa ilm ata ho jis say woh apni aulad kay halat say wakif hosakay aur istarah Hazrat Jibrael(a.s) nay Allah pak kay hokam say ilm ramal hazrat Nuh(a.s) ko talim farmaya aur aap(a.s) is ilm ki madad say apni aulad kay halat say wakif rehtay thay.

HAZRAT IBRAHIM(a.s) KA ILM RAMAL:
Jab Allah pak nay Hazrat Ibrahim(a.s) ko Kaaba sharif bananay ka hokam farmaya to Hazrat Ibrahim(a.s) ko malum na tha kay iski jaga konsi hai ya konsi jaga par banaya jay aur kesa shape hona chahehai, Aap(a.s) isi soch main bethay thay kay Hazrat Jibrael(a.s) Allah pak kay hokam say zahir hoay aur onhonay apnay hath ki finger asman ki taraf ishara ki jiska matlab tha khuda 1 hai phir hazrat Jibrael(a.s) nay osi finger ko zamin ki taraf ishara karkay zamin par finger gari jis say dot ban gaya:

Add caption
Aur phir yahi dot phel kar 4 dots ban gay square ki tarah:

Yahi woh Bismillah sharif ki "Bay" ka nokta tha jo Hazrat Jibrael(a.s) nay zamin par banaya aur jis say Bismillah al-reham al-rahim kay 4 noktay square ki sorat main zamin par ban gay aur yahi woh 4 noktay thay jo pehlay hazrat Adam(a.s) par nazil hoay thay, Hazrat Ibrahim(a.s) aur Hazrat Ismael(a.s) nay 4 nokton par Kaaba sharif ki boniad dali aur 4 deewaray banai aur square ki shape main Kaaba sharif banaya.

HAZRAT MUSA(a.s) KA ILM RAMAL:
Hazrat Musa(a.s) par ilm ramal wahi hoa tha jewish log is ilm ko "Kabbalah" kehtay hain, Kabbalah aak hebrew yehni abrani word hai jiska matlab hai "The Received Wisdom", Jewish logon kay mutabik Khuda nay sub say pehlay Kabbalah ka ilm farishton ko sikhaya tha dunia bannay say pehlay aur Hazrat Adam(a.s) ko sub say pehlay Hazrat Raziel(a.s) kay zariay sikhaya gaya jab onko jannat say nikala gaya tha, takay Hazrat Adam(a.s) is ilm ko seekh kar qudrat ka moshaida karay aur wapis osi makam jannat par jasakay, Hazrat Adam(a.s) kay baad yeh ilm montakil hota raha aur phir achanak yeh ilm dunia say ghum hogaya jesay aaj kal kay scientific dor main kafi rohani olom ghum hogay hain, is tarah os dor main logon main shirk phelnay laga aur jahalat aur bot parasti phir barhnay lagi, istarah yeh ilm phir Hazrat Ibrahim(a.s) par nazil hoa onhonay is ilm ko kafi phelaya onkay baad phir yeh ilm jewish logon main ghom hogaya jab woh misar yehni egypt main golami ki zindagi gozartay thay, aur akhir kar phir yeh muqadas ilm Hazrat Musa(a.s) par nazil hoa jab Aap(a.s) pahar par khuda say milay, jab pehli dafa hazrat Musa(a.s) pahar par ghay to khuda nay onko ilm e zahiri taleem farmaya jisay "Ten Commandments" ya das ahkam kehtay hain yeh ilm onki kom kay aam logon kay liay tha, jab Hazrat Musa(a.s) dosri bar pahar par khuda say milay to onko Khuda nay ilm e batini ki taleem di jisay kabbalah kaha jata hai, Hazrat Musa(a.s) nay yeh ilm apnay tak he rakha aur apna bhai Hazrat Haroon(a.s) ko taleem farmaya aur onko kaha kay yeh ilm sirf apni family tak he mehdod rakhna istarah yeh ilm bani israel kay paygambaron main montakil hota raha, aur aab main is ilm kay mutalik kuch muktasir batain aap say share karta hon, kabbalah ilm main jo key hai jis say yeh ilm asani say samja jasakta hai woh hai "Tree of Life" yehni shajar e hayat, oski image istarah hoti hai:
Yeh 10 ahkam e batini ya woh 10 ilm ramal kay noktay hain jisay khuda nay hazrat Musa(a.s) par nazil farmay thay,  jisay jewish log tree of life kehtay hain aur isi main sub raaz poshida hain ,

HAZRAT ARMIAH(a.s) KA ILM RAMAL:
Hazrat Armiah(a.s) ki kom kay log ilm najom (astrology) say aak dosray ki madad kartay thay aur is kay sath mashgol hotay thay aur onkay liay koi shogal nahi tha magar woh ilm najom main nazar rakhtay thay, onkay priest bohat magror thay onko apnay ilm par bara naz tha onkay mutabik ilm najom say afzal dosra koi ilm ho he nahi sakta istarah woh Khuda ko bhol kar sitara parasti karnay lag gay aur 7 sitaron kay bot bana kar onki puja karnay lag gay,
Pas Allah pak nay Armiah(a.s) ki taraf wahi bhayji Aur Hazrat Armiah(a.s) nay apni kom say farmaya:
"Kon afzal hai jo asman, Sitaray, koakab, chalnay walay falk, soraj aur chand ki taraf dekhay woh motehrik hai aur os main harkat hai aur woh oskay mutalik bagair asal kalam kay sath baat karta hai kai dafa sahi hota hai aur kai dafa khata hojati hai,
Ya Phir woh jo zameen ki taraf dekhta hai aur yeh jamad sakin gair motehrik hai jis main harkat nahi hai, matti main lakeeray khinchta hai aur tumhai on cheezon kay baray main khabar dayta hai jo oskay awal say akhir tak os saal main hai aur jo kuch oski barishon, nibat, ajnas oskay bhao, oskay sastay aur mehangay honay say hai aur jo tumharay dushman tumharay sheharon main chaltay hain tumhai fateh aur shiksat kay baray main khabar daytay hain aur tumhai zindagi, mot, omaron kay lambay aur chotay honay kay baray main khabar daytay hain aur yeh kay hamla aurat mozakir ya monis main say kya janay gi,
Aap(a.s) ki kom nay kaha jo zameen main daykhta hai afzal hai, agar tum hakim aur fazil ho ya Nabi aur tum is par kadir ho kay jo kuch tum bolo osko apni dalael kay sath zahir karo aur jo kuch tum nay bola oskay sath amal karo, Agar tum nay yeh kardia to hum aap ki atba karain gay aur aap ki Nabowat kay sath eeman lain gay.
Pas Hazrat Armiah(a.s) nay kaha ay Rab to sub say ziada jannay wala hai jo kuch onhonay kaha mujay woh ilm taleem do jis kay sath main onkay ilm ko batil kardon, Pas Allah pak nay hazrat Armiah (a.s) par 16 ramal ki figures nazil ki phir Armiah(a.s) nay on figures ko onki kom kay tarikon say mix kia aur har figure kay neechay likha jo borj, koakab, manazil, atraf, jawahar, anasir, nibatat, haywan, horof, adad oskay sath mansob hai aur makhlokat main har shay oskay sath mansob hai,
Pas Hazrat Armiah (a.s) onki taraf ay aap (a.s) nay onsay kaha muj say pocho jo tum chahatay ho bayshak main Allah pak kay hokam say matti say oskay sath tumhai khabar don ga, Onhonay Armiah (a.s) say pocha jo kuch is saal main awal say akhir tak hoga aur on tamam kay baray main jo zaraet, hawaon, harkat, sukon, barishon aur narkhon kay sastay, mehangay honay kay baray main hoga,
Hazrat Armiah(a.s) nay onko din ba din, saet ba saet agah kardia aur
jo kuch Aap(a.s) nay kaha to onhonay apnay cheharon kay sath onki taraf maylan kia aur onhonay Hazrat Armiah(a.s) ki tazdeek ki aur inhain apna Nabi man lia aur jis tarikon par woh pehlay thay osay onhonay batil kardia. Isliay Nabi kareem(S.a.w) ka kol hai: "Meray bhai Armiah(a.s) matti main lakeeray khinchtay thay pas jis nay onki lakeer khat ki moafkat ki woh thek hoa".
Hazrat Armiah(a.s) nay sub say pehlay ilm ramal ko ilm najom kay sath mix kia aur aaj hum jo zaicha ramal ka banatay hain woh isi tarah he banatay hain jis tarah Hazrat Armiah(a.s) banaya kartay thay aur aaj bhi har ramal ki figures kay mansobat wahi same use hotay hain jo hazrat Armiah(a.s) nay ayjad kiay thay jiski ak image main yahan aap say share kar raha hon:

HAZRAT DANIAL(a.s) KA ILM RAMAL:
Hazrat Danial(a.s) Paharon kay daman main chop kar tanhai main Allah pak ki ibadat main masrof rehtay thay, Aak din Hazrat Jibrael (a.s) ilm ramal ko aap kay pas lay aur farmaya, Allah pak ka hokam hai kay gumrah logon ko haq ki taraf dawat dain aur ilm ramal ki madad say logon kay dilon ko haq ki taraf phayray isliay kay aap kay pas zahiri tor par koi wasail nahi hain, Chinachay Hazrat Danial (a.s) pahar say otar kar neechay ay thori rayt apnay sath liay misar (egypt) kay bazar main aak konay main akar beth gay, har shaks nay akar pocha kay yeh rayt kaysi hai Aap(a.s) nay farmaya kay tum muj say sawal karo main iska jawab don ga, chinachay bohat logon nay muktalif sawalat kiay kisi nay kaha kay hum kis kam ko jatay hain, kisi nay kaha kay aaj hum ghar say kya khana kha kar chalay
hain aur humaray ghar main kis kadar dolat hai aur kitnay aadmi hain ya humaray ghar main khazana hai ya nahi, agar hai to kis kadar hai, aur kuch nay pocha kay humaray dil main kya hai, Aap(a.s) nay is ilm sharif say aysay sahi jawabat diay kay os main fark na tha hazaron ahal e misar eeman lay ay.

Kuch tarikh main olmao nay istarah likha hai kay jab Hazrat Danial(a.s) apni kom ki mukhalfat ki waja say shar say bahir gay tab yeh ilm bator e mojaza ata hoa tha, Aap (a.s) nay is ilm kay zariay logon kay dilon ka hal bayan kia is say kom main hazrat Danial(a.s) ki izat aur aytmad payda hogaya, ortay ortay yeh khabar os waqat kay badshah ko pohanchi to osnay hazrat Danial(a.s) ko bolwa bhayja aur imtehan laynay kay liay chand batain pochi jin ka Aap (a.s) nay dorast jawab dia jis say badshah bohat mutasir hoa osnay
hazrat Danial(a.s) say kaha kay aap meray betay ko ilm Ramal ki taleem dain, Hazrat Danial(a.s) nay shezaday ko bari dil jami kay sath ilm ramal ki taleem dena shoro ki aur is ilm main mahir kardia, jab shezada ilm ramal main kamil hogaya to badshah bohat khush hoa, Badshah nay akaylay main hazrat Danial(a.s) ko bolaya wahan par shezada bhi mojod tha kol 3 afrad wahan par mojod thay, bataon bataon main hazrat Danial(a.s) nay shezaday say farmaya kay humaysha say yeh mamol chala araha hai kay har aak zamanay main Allah pak nay logon ki hidayat aur rehnomai kay liay
aak paygambar ko bhayja hai, tum ilm ramal kay zariay malum karo kay is zamanay main koi paygambar mojod hai kay nahi?, chinachay shezaday nay khat ramal khincha aur hisab laga kar kaha kay is zamanay main paygambar mojod hai, Hazrat Danial(a.s) nay phir pocha kay agar paygambar hai to is waqat kis shehar main hai?, shezaday nay hisab laga kar bataya kay isi shehar main hai, Hazrat Danial(a.s) nay phir dariafat kia kay isi shehar main kis mokam par hai?, shezaday nay jawab dia isi mokam par hai, Tab Hazrat Danial (a.s) nay pocha kay agar paygambar is jaga par hai to woh kon hai? shezaday nay phir hisab laga kar kaha is jaga par hum 3 shaks hain na to main paygambar hon na mera baap paygambar hai beshak
aap paygambar bar haq hain, Badshah yeh giftago son raha tha woh aur shehzada osi waqat hazrat Danial(a.s) par eeman lay ay oskay baad baki tamam kom bhi gomrahi say tayb hokar hazrat Danial (a.s) par eeman lay ai.

Iski aak tarikh Alama Ibn Khaldon apni kitab Tarikh e Aalam main istarah bayan kia hai:
Babylon kay Badshah Nebuchadnerzzar nay Jerusalem par hamla kia aur Haykal muqadas (Temple of solomon) ko veeran, barbad kar kay bani israel ko zanjeeron say bandh kar bayaban nanwa main qaid kia, os waqat bani israel kay qaidion ki tadad 96 thousand thi aur woh bayaban main muktalif makamat par katar andar katar kholay asman kay talay rayt par bethay qaid wa band ki sakhtian jhayl rahai thay, os waqat israel kay deeni rahnama Hazrat Danial (a.s) thay jo kom kay is tarah kay sakht halat ki waja say sakht parayshan thay, chinachay kom kay muktalif girhon kay halat say agah honay kay liay Allah pak nay Jibrael ameen(a.s) kay zariay ilm ramal ata farmaya.
Hazrat Danial(a.s) rayt par bethay thay aur dil wa dimagh kom kay
bais parayshan thay hath rayt kay zaron main garhai thay, jonhe
Jibrael(a.s) nazil hoay to aap nay hath rayt say alag kar kay onki
taraf tawaja ki, Jibrael nay aap ko Khuda ka salam dia aur farmaya
"Danial parayshan na ho aur rayt par apnay hathon ki onglion kay nishanat ko daykh aur qudrat Khudawand Rab almeen molakhta kar", Aap(a.s) nay nishanat ko daykha to woh noktay (dots) ki tarah thay dono hathon kay 8 dots banay thay, in 8 dots say Hazrat Jibrael (a.s) nay Hazrat Danial (a.s) ko ramal ki 16 figures taleem farmai aur in figures ki meanings batai jin kay zariay Danial(a.s) bani israel kay muktalif girhon kay halat say wakif hoay aur phir isi ilm kay zariay aap nay Babylon kay badshah ko apna garweda banaya".

HAZRAT LUQMAN KA ILM RAMAL:
Hazrat Luqman ko Allah pak nay Hikmat ka ilm baksha tha jiskay mutalik Quran sharif main Allah pak nay farmaya hai "Aur Hum nay Luqman ko Hikmat Bakshi kay Khuda ka shukar karo.", Hazrat luqman ko Allah pak nay intaha darjay ki hikmat say nawaza tha laykin onhai Nabowat say sarfaraz nahi farmaya tha, Hazrat luqman aak african ya sudani thay aur chotay qad, chipti nak walay siahfam habshi thay aur aap kay chehray ka rang bohat siah yehni kala tha, aap ko har kisam ki jari botio ka ilm tha aur ilm hikmat main aap say barh kar koi nahi, hikmat kay sath ilm ramal bhi Allah pak nay aap ko ata farmaya tha, jo aaj bhi african countries main siahfam log jantay hain, luqmani ramal ko "Ifa" kaha jata hai,

Luqmani ramal main sirf 2 ramal ki figures banai jati hain aur inki 2 figures say sub halat malum par jatay hain, luqmani ramal ka tarika bohat ajeeb aur gehra hai jisay har koi samaj nahi sakta wahi samaj sakta hai jisay Allah pak Hazrat Luqman jesi zahanat day,

Hazrat luqman ilm ramal say marz ko pehlay tashkhis kartay thay aur phir os marz ka ilaj kartay thay, aap nay apnay betay ko yeh muqadas ilm taleem farmaya aur aap kay betay kay baad yeh ilm africa main phel gaya aur aaj bhi yeh ilm africa kay ghanay janglon main habshi log jantay hain aur is ilm say kai poshida amraz ko tashkhes kar kay jari botio ya jhar phonk say ilaj kartay hain.

HAZRAT ESSA(a.s) KA ILM RAMAL:
Hazrat Essa(a.s) (Jesus Christ) bhi ilm e Ramal jantay thay muqadas kitab e Anjeel yehni Bible kay mutabik kuch yahodion nay aak aurat ko Hazrat Essa(a.s) kay pas lay ghay aur kaha kay is aurat nay bara gonah kia hai isnay zina kia hai aur Mosa(a.s) kay kanon kay mutabik is aurat ko sangsar karna hoga aur aap is kay baray main
kya kehtay hain, Hazrat Essa(a.s) zameen par aungli say lakeeray dalnay lagay aur khamosh rahai jab yahodion nay phir pocha to Hazrat Essa(a.s) nay  yahodion say kaha kay "tum logon main say jo gonahon say pak ho woh pehla pathar is aurat ko maray" yeh kehnay kay baad aap(a.s) phir say  zameen par lakeeron say figures bananay lagay, yahodi yeh son kar ek ek kar kay aurat ko chor kar chalay ghay, Hazrat Essa(a.s) othay aur pocha akayli khari aurat say kay "sub kahan ghay? kisi nay kuch bhi nahi kaha tum ko?"
aurat nay kaha "nahi kisi nay kuch na kaha mujhay", Hazrat Essa (a.s) nay aurat ko kaha "main bhi tum ko kuch nahi kahon ga, jao aur aab dobara gonah na karna" (John 8.2-12)







ILM-E-RAMAL AUR AIMAH-E-AHLYBAIT A.S :~

rasekhouna fel ilm AHLY BAIT A.S he hain jen sy quran mn pouchny ka hukum hai jo ham nahe jantyaimah-e-ahly bait a.s in tamaam Batni uloom k khazany k malik hain aur koie ilm aisa nahe jo in k dast-e-akhtiyar mn na ho .
ketaab mufateh-ul-ghaib urdu edition mn musanif moulana syed najam-ul-hasan sahab page 28,29 par lekhty hain k Hazrat imam JAFER-E-SADIQ A.S ny ilm-e-ramal ,ilm-e-kemiya,ilm-e-jaffer par aik ketaab lekhi the, ketaab raheem-ul-ramal hisa 2 k page 6 par musanif dr.abdul raheem lekhty hain " aik rewayat mn hai ky ye ilm(ramal) degar mutabarik uloom ke tarhan apni asli halat mn hazrat sahib-ul-asar imam MAHDI a.s k pass moujood hain,(Hazrat Ali a.s k hath ke lekhi hoie ketaab jaffer al jameh jes mn qayamat tak k waqiyaat darj hain woh bhe unke pass hai) imam jafer-e-sadiq a.s astrology,astronomy,kemiya,numerology,jafer aur dosry aloom ke tarhan ilm-e-ramal bhe janty thy .






RAMAL KE SHAKAL LEHYAAN

ramal ke shakal rehaan  jo lehyaan kehlati hai ka pehla hurf alif hai ,number 1 aur sitara mushtari k sath hai ,yani lehyaan  dairah sukan,abdah,daniyali,abjad,asah,ansar ya dairah-e-hurf ya aks k pehly khany mn ati hai sirf dairah buzuh dosry khny mn ati hai dairahabdah mn chunky nuqaat ko ahmiyat hasil hai lehaza lehyaan ka abdah mn khana awal mn ana nehayat mubarak samjha jata hai ,is mn 7 nukty hain pehla atishi,2 nukty hawai,2 nukty abi aur 2 khaki hain ,awal nukta atish lehyaan ke jaan hai agar ham pehly nukty ko badal kar dosry tesry ya chuthy number par ly aien tu mafhoom he badal jata hai .

ilm-e-ramal mn nukty ko bohat ahmiyat de hai kesi k zaichy mn lehyaan ka ajana intehai mubarak aur khush bakhti ke alamt mana jata hai aur kesi bhe ramaal ko zaichy k pehly ghar mn lehyaan ko dekh kar nateja nekalny mn dyr nahe lagte,hazrat Ali a.s ka nukty aur lehyaan k sath kya taluq hai ye baat tabhe samjh ayege k  jab is nukty ko atish ke bajaye noori taswur kareingay wesy ghour kiya jaye tu asal mn atish ny bhe tu noor he sy janam liya hai.


LEHYAAN KE SEFAAT :~
1-saad akbar 
2-hurf alif,
3-kokab mushtari,
4-mizaaj atshi-sharqi
5-khandaan shreef ala ilm aur fazal ka gharana
6-khush khalq,ze feham,fasahat aur balaghat
7-peshani aur sena fraakh
8-mahir ilm-e-riyazi,qazi,adalat,kachehri
9-muqaam baland,masjid,ibadat gah
10-din jumyraat
11-makkah,mashhad,neshapur,NAJAF
12-Taaj

(hawala:mukammal ramal surkhaab page 122.) 

         
                     





RAMAAL KY AUSAAF :~(THE GEOMANCER)

Aik ramaal ko paband-e-ahkaam-e-shariyat hona bhot zarori hai uski zubaan sy jhoot na nekalta ho km bolny wala km sony wala ho aur fuzool aur laghu guftugu sy parhaiz karta ho na kesi ke tareef par khush ho aur na kesi k bura kehny par ghamzada,har ahkaam ko men janib ALLAH ke neyat sy batyae us mn apni raye shamil na kary,jo baat batany k qabil na ho us ko ishary sy samjhay,zaicha banay sy pehly ALLAH ke bargah mn apny matlab k hal k leye dua kary, zaichy mn khob ghor-o-khos kary zaicha banay sy jawab dyny tak sail k sawaal ko zehan mn rakhy .pak libas pehny aur khushbu ka apny qareeb ahtimam kary.



RAMAL K QUR'RY DICES : ~

wesy tu zaicha-e-ramal banay k leye ashkaal nekalny k kai tareky hain lekin jo tareka qadeem aur ajj tak sahe chala araha hai woh bazarya dices ka hai is mn ramaal sail sy  sawaal ke neyat karwa kar dices dalwata hai aur us sy hasil shapes ko zaicha mn daal kar zaicha tarteeb dyta hai is kesam k zaichy mn jawaab usi surat mn sahe ata hai jab k qur'ra-e-ramal dices belkul sahe bany hun ur unke banawat mn kesi kesam ke kmi aur ghalti na hoie ho



 


DICES KE TAYARI :~ 

dices ke tayari mn 7 dhatein seven holy metals use hoti hain ye saath dhatein sath setaron sy mansoob hain jab sail  sawaal k leye dices daly ga tu un dices mn 7 stars ke power already mojood hoge jes sy sawaal sahe ayega, in sab dhaton ke aik muqarara miqdaar mel kar ramal k dices banati hain is ky banany k leye waqt tehweel aftaab dar burj hamal afzal waqt hai ,banany wala pak saaf ho aur qibla ro hokar banaye .


ZAICHA RAMAL

koi bhi neya kaam shoro karne se pehle apna zaicha ramal zaror banwa kar us kaam k mantaqi anjam k motaliq zaror malom karen jese shadi,karobar,jadu seher,taweel bemari,na khatam hone wali gharelo preshani,talim, karobari shrakat,izafi amdani,prize bond lottry inaam ka hasil hona ya na hone ki wajohat,psandeda shadi,muhabbat,ap ka sawal jo bhi ho insha Allah jawab drosat ho ga bazrya zaicha ramal etc,
AGAR AP ZAICHA BANWANA CHAHEN TO RABTA KAR SAKTE HAIN 09;30 PM SE 10;30 PM TAK



DUA KI DARKHOST HAI,

M A KAZMI

03435203830

KAZMIMA37@GMAIL.COM



No comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.